lawyerguruji

unmarried couples ke rights- rights of unmarried couple

www.lawyerguruji.com

Hello friends,

Aaj is post mein Un-married Couple ke rights ke bare mein batane jaa raha hu, kyoki kai unmarried couple ko in right ke bare mein janakri nahi hoti hai, jiske kaarn se inko kai problem ka samna karna padta hai.
Unmarried Couples ke rights. ( Rights of Unmarried Couple)

Un-married couple kaun hote hai?
Un-married couple ve hote hai, jinki shadi nahi hoti hai, ve apni marji se live in relation mein rahte hai.

Unmarried Couple ke mann mein kai sare sawal (question) hote hai?

  1. Kya ek unmarried couple hotel ke room mein ek sath rok (stay) sakte hai, kya yah legal hai ya illegal hai?
  2. Kya unmarried couple ek dusre ke sath ruk (stay) sakte hai ?
  3. Un-married couple ke rights kya hai?
  4. Aur bhi kai sare sawal un married couple ke man (mind) mein ate rahte hai.
  5. Yadi police ne un married couple ko pakad liya to kya karenge.
To, chaliye hum baat karte hai un married couple ke rights ke bare mien, Yadi un married couple ko police pakad bhi leti hai, to darne ki koi baat nahi hai, kyoki Indian law dwara unmarried coup[ple ko kuch right diye gaye hai, jinke adhar (grounds) par un married couple police se baat kar sakte hai.

Rights of  Unmarried Couples.

1. 18 saal ya 18 saal se jada age ke 2 major ( Male or Female) apni apasi shamati se physical relation bna sakte hai.

2.  Jo unmarried couple lgatar physical relationship mein ek dusre ke sath rah rahe hai, ve couple married he mane jayenge.

3.  Yadi is period mein male partner ki death ho jaati hai, to aise mein female partner  us mritak partner ki property ki waris hogi. Jiska matlab yah hai, ki jis vyakti ke sath wah couple ke roop mein thi aur lgatar physical relation mein thi us male partner ki property par is female partner ka right hoga.

4.  Yadi koi bhi un married couple ek dusre ke sath husband or wife ki tarah rah rahe hai, to aise mein ve dono kanooni roop se married mane jayenge.

5. Yadi unmarried couple hotel ke ek room mein ek sath rukte hai, to police un dono ko is adhar (grounds) par arrest nahi kar sakti ki ve dono un married hai.
6.  Hotel association of India ke anusar un married male or female hotel ke room mein rah sakte hai. Aisa koi kanoon nahi hai, jo ki unmarried couple ko hotel mein room book karne se roke.



3 comments:

  1. Dear sir - Kya adult couple Bina shhahdi kiye ek sath rah sakte hai leave in relationship me 19 saal ki age me or leave in relationship me rahne se pahle Ek court agreement kar sakte hai taki police bhi arrest karne aaye to unko Agreement bata sake ...kya agreement kisi bhi district court me ho sakta hai court iski permission deti hai .....

    ReplyDelete
  2. जिन शर्तों के साथ आप रहने को कह रहे है, इन शर्तों के आधार पर नहीं रह सकते है ।

    ReplyDelete
  3. Sir aap isme hume legal sections ke bare me jaankari de skte h

    ReplyDelete

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.