lawyerguruji

Special marriage act kya hai iski puiri jankari in hind


SPECIAL MARRIAGE ACT 1954 KYA HAI AUR ISKI PURI JANKARI.

Special Marriage Act kya hai?
Special Marriage Act 1954, me yah bataya gya hai ki is adhiniyam ke antargat kaun shadi kar sakta hai aur iske antargat shadi ki sharte (Conditions) kya hai.
HIndu Marriage Act 1955 aue Muslim personal law board ke alawa bhi ek Adhiniyam hai jiske anusar shadi ki ja sakti hai vah Special Marriage Act 1954 hai. Hindu Marriage Act ke antargat jahan do balig hindu shadi kar sakte hai, vahi Muslim Personal Law Board ke antargat Islam dharm ke do log nikah kar sakte hai.
Special Marriage Act is dono se alag hai is adhiniyam ke antargat kisi bhi dharm ke do log apas me shadi kar sakte hai. Is adhiniyam ki khas bat yah hai ki shadi karne wale alag alag dharm ke logo ko apne dharm ko badalne ki bhi jarurat nahi padti hai. Dono ka apna dharm shadi ke bad bhi bana rahta hai.Shadi chahe kisi bhi tarike se hui ho ,shadi ke bad patni ko ve har kanooni adhikar mil jate hai jin adhikaro ki vo hakdar hoti hai.
SPECIAL MARRIAGE ACT 1954 KYA HAI AUR ISKI PURI JANKARI.

Special Marriage Act ke anusar shadi kaise hoti hai?
Is Adhiniyam ke antargat ladka aur ladki pahle se shadi shuda na ho, ladka aur ladki dono balig hone chahiye aur dono ki mansik sthiti thik ho taki dono is shadi ko sahamati de sake ,to is adhiniyam ke anusar ve Shadi kar sakte hai.
Shart yah bhi hai ki yadi dono hindu hai to ve dono Prohibited Relationship me nahi hone chahiye, yaha Prohibited relation se matlab hai ki Bhai, bahen, buwa, Mousi adi se hai. Aur ve dono Sapinda Relation ship me bhi nahi ane chahiye jaise pita ki panch pidhi se hai aur maa ki  teen pidhi se hai, yadi dono is realation me ate hai to shadi manya nahi hogi aur aisi shadi ko kanooni taur me sunya mana jayega. Is adhiniyam ke antargat bhartiy videshi ke sath bhi shadi kar sakte hai.
Shadi ke ichhuk jode ko apne ilake ke ADM office me shadi ki arji dakhil karni hoti hai.
In dono ko yah affidavit dena hota hai ki dono balig hai aur bina kisi dabav ke ve yah shadi kar rahe hai. Dono ka physical verification kar unhe 1 mahine bad ane ke liye kaha jata hai aur is prakriya ke samay notice board me unke bare me yah suchna chipkai jati hai ki dono shadi karne wale hai.Agar kisi ko koi apatti hai to vah bataye.
Notice Period ke bad dono ko ADm ke samne pesh hona hota hai.
Gawaho ke samne marriage registrar unse sapath dilwata hai aur fir shadi ka certificate jari kar diya jata hai.

Requirement of Special Marriage Act 1954.
  1. Shadi ke samay Var ki umar 21 varsh puri ho gayi ho aur Vadhu ki umar 18 varsh puri ho gayi ho.
  2. Saman ya alag dharm ke premi is Special Marriage Act ke antargat ek dusre se shadi kar sakte hai aur dono ko apne dharm ko badalne ki bhi jarurat nahi hoti hai.
  3. Yah shadi Cout me Sub divisional Magistrate ya  Additional Magistrate ke dwara karayi jati hai.
  4. Special Marriage Act ke antargat is ki jane wali shadi me kisi bhi Pandit ,Moulvi, Padri, ya Granthi shamil nahi hote hai.
  5. Is Adhiniyam ke antargat shadi hone ke liye teen gawaho ka hona jaruri hota hai.

Yadi dono HIndi Riti- Rivajo se shadi karna chahte hai aur is shadi ko registered bhi karana chahte hai to kya kare?
 Jaisa ki is adhiniyam me yah bataya gya  hai ki do balig shadi karne ke yogy  shadi kar sakte hai.Isme se koi bhi pahle se shafi shuda nahi hona chahiye, agar pahli patni ya pati ab jivit nahi hai ya dono talak shuda hai to shadi kar sakte hai.
Shadi hindu riti rivajo se ghar ya mandir me ho sakti hai. Mandir me hui shadi ke bad mandir ke pujari dwara shadi ka certificate jari kiya hai. Shadi ke bad is shadi ko kanooni rup se register karane ke liye dono ko Registrar of Marriage ke daftar me uske samne marriage certificate ke avedan patr ko bhar kar dena hota hai. Is shadi se sambandhit shadi ke card ki ek copy aur shadi ki photograph aur anya sambandhit dastavej dene hote hai. Us waqt yadi dono  me se kisi ko bhi apna sirname badalna hai to vah badal sakta hai. Marriage registrar shadi ko register kar certificate ko jari kar deta hai.

Alag alag shadi ke tarike se patni ko pati ki sampatti me kis tarah adhikar milte hai?
  1. Hindu Marriage Act ke anusar ki gayi shadi ke anusar patni ko apne pati ki sampatti me Hindu Succession Act ke anusar adhikar milega.
  2. Muslim Personal Law Board ke antargat kiye gaye nikah me patni ko pati ki sampatti me muslim personal law borad ke anusar adhikar milega.
  3. Special Marriage Act ke antargat ki jane wali shadi me patni ko pati ki sampati me Indian Succession Act ke anusar adhikar milega. 

No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.