www.lawyerguruji.com
Parmadesh lekh (Writ of Mandamus).
Parmadesh lekh (Writ of mandamus) ek nyayik upchar hai jo kisi uchh (Superior) Court dwara kisi sarkar, Court, Nigam, ya lok adhikari (Public Authority) ko aisa koi vishesh karya karne se rokne ke liye ek adesh hota hai ,Jisse vah nikay yathasthit karne ya n karne ke liye kanoon ke adhin vivash hota hai.
Bhartiya sanvedhanik vidhi mein parmadesh writ vaha nyay ke samanya lekh ke rup me karya karta hai ,jaha nyay dene se inkar kiya jata hai ya nyay deri se diya jata hai aur dukhi pakshkar (party) ke pass koi anya upchar uplabdh nahi hota. Yah ek diwani (Civil) karyavahi hoti hai jo ki nyay ki trutiya (errors) ki purti karne ke liye prarambh ki gayi hai.
Parmadesh lekh jari karne ke aadhaar ( Grounds for issuing Writ of Mandamus).
Parmadesh writ nimnlikhit paristhitiyo me jari kiya jata hai -
- Jab Yachi (Petitioner) ko koi vidhik adhikar prapt ho,
- Jab yachi (Petitioner) ke vidhik adhikaro ka ullanghan hua ho,
- Jabki aisa ullanghan lok pradhikari dwara tdanrupi (Corresponding) kartavyo ke palan n kiye jaane ke karan hua.
- Jab yachi ne lok pradhikari dwara us vidhik kartavyo ke palan kiye jaane ki maang ki hai aur adhikari ne karya karne se inkar kar diya hai.
- Jab yachi ko parmadesh writ ke alawa anya prakar ka uchit, turant aur prabhavi upchar uplabdh nahi hai.
1.Parmadesh Writ Prashasnik (Administrative) aadesh ke virudh kab jari hoti hai .
Parmadesh Writ Prashasnik (Administrative) aadesh ke khilaf jari hoti hai, yadi aisa aadesh avedh ho yadi vah karya gyan sambandhi ho to pradhikari use karne ke liye vedh rup se badhya hota hai.Yadi kisi vivek shakti ke adin ho to uska prayog kisi sidhant ke anusar hian chahiye. Kisi bhi vivek shakti pradhikari ko har mamle me yah nirnay karna smagyapak rup se jaruri hai ki vah vivek shakti ka prayog uchit hai ya nahi.Smagyapak ya vivek shakti ke adheen kartavyo ko karne ke liye use imandari ya vedh vicharo ka sahara lena padta hai. Vivek shakti ka prayog vidhi dwara ullikhit udeshyo ki purti ke liye hona chahiye. Yadi koi lok-nikay is mul tathyo ka anusaran smagyapak ya vivkeshakti ke adheen kartavyo ke karne me nahi karta hai to uske khilaf pramadesh erit jari ki ja sakti hai.
2. Pratyek pradhikari ya lok nikay ka yah kartavya hota hai ki vah is par vichar kare ke uske dwara upyog ki jane wali shakti ka kahi durupyog na ho. yadi koi lok adhikari athva lok nikay kisi smagyapak kartavya ko karne se inkar karta hai ya inkar kare to us pradhikari ke khilaf parmadesh writ jari kar use karne ke liye adesh diya ja sakta hai.
3.Jaha koi lok pradhikari apni shakti ke bahar karya kare.Rajya ka yah kartavya hota hai ki vah manushyo ki swatantrata aur uski sampatti ki raksha kare Prashasan ko kisi manushya ki swatantrata aur uski sampatti me hastakshep se rokna jaruri hai.Iske liye vah vanchniy (desirable) hai ki prashasnik adhikari apni shima ke andar adhikari avam shaktiyo ka prayog kare. yadi vah apni shima ka ullanghan karta hi to uske avrodh karna jaruri hai.
Yadi koi adhiniyam sansad ya rajya vidhan sabha dwara paarit kiya gya ho yadi kisi ke vyaktigat hit ko hani pachuti hai to aisi dasha me us hit ke swami ko pramdesh writ ka upchar prapt hoga iske dwara sarkar ko us vidhi kelagu karne se roka ja sake.
4.Yadi is prakar ke vivkeshakti ka upyog avedh rup se hua ho to nyayalaya (Court) avashya hastakshep karega. yadi vivekshakti ka prayog nimn rup me hota hai -
1. yadi adesh bina adhikarita ke diya jata hai ya adhikarita ke bahar ke karya se sambandhit hota hai.
2.Yadi koi pradhikari pakshtapurn adesh deta hai .
3.Yadi pradhikari bahri vicharo se prabhavit hokar adesh paarit karta kare.
No comments:
lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।
नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।