lawyerguruji

Online nrega ke kaam ki shikayat kaise kare-Online lodge complaint with nrega

www.lawyerguruji.com

Hello friends,
Aaj is post mein aap sabhi ko NREGA  se sambandhit shikayat kaise darj kare vo bhi online.
2005 mein Government ke dwara shuru ki gyi employment scheme jo ki gavn ke logo ko 100 dino ka rojgaar pradan krti hai. Yah yojna BPL card dharako ke parivar walo ko unke ghar se 5km, ke area mein 100 din ke kaam ki guarantee deti hai.

Yadi kisi vyakti ko, jisne MANREGA ACT 2005 ke antargat apne kaam ke liye avedan kiya ho aur ab tak us vyakti ko koi kaam nahi mila ho ya usay kaam ke badle mein niyamit majdoori (wages) nahi milti ho to, aise mamlo ki wah vyakti apne  rajya ke sambandhit  adhikari ko Online roop se darj karva sakta hai.
Online NAREGA ke kaam ki shikayat kaise kare ( Online lodge NAREGA complaint)

Shikayat darj kaun kara sakta hai? ( Who may file a complaint )

  1. Non-government  Organisation,
  2. Citizen,
  3. Worker,
  4. Media,
  5. VIP.
NREGA mein shikayat kab darj karai jaa sakti hai ?
NREGA ki Official website par jaa kar aap apni shikayat in condition mein darj karva sakte hai.

A. Registration / Job card ke mamle mein:
  1. Yadi gram pacnhayat Job card ke oanjikaran (registration) karne se mna karta ho ya nahi kar rah ho,
  2. Yadi Gram Panchayat job card jaari nahi kar raha ho.
  3. Yadi job card majdooro ko nahi diya gya ho.
B. Kaam (work) ke mangne ke mamle mein:
  1. Yadi vyakti ke dwara kaam mange jane par uska registration nahi kiya jaa raha ho,
  2.  Tareekh (date) padi raseed (receipt) jari nahi ki ja rahi ho.
C.  Material ke mamle mein:
  1.  Yadi material available nahi hai,
  2. Price incerase ho gya ho,
  3. Material ki quality sahi na ho.
D. Bhugtan ( payment ) ke mamle mein:
  1. Yadi majdoori dene mein deri ho rahi ho,
  2. Adha (half) bhugtan ( payment) kiya gya ho,
  3. Yadi majdoor ko kisi bhi prakar ka koi bhi bhugtan nahi kiya jaa raha hai,
  4.  Un upyukt tariko ka istemaal kiya jata ho.
E. Mapan ke mamle mein:
  1. Time par measurement nahi kiya jata ho,
  2. Un upyutk roop se measurement kiya jata ho,
  3. Measurement ke liye engineer nahi aata ho,
  4. Measurement equipment available na ho.
F.   Kaam ka na diya jana (allotment of work)
  1. Rojgaar ka uplabdh na hona,
  2. 5 kilometer ke dayare mein kaam allot nahi kiya jata ho,
  3. 5 kilometer se adhik doori par jin vyaktiyo ko kaam diya jaata ho, uske TA / DA nahi diya jata ho,
  4. Time par rojgaar nahi diya jata ho.
G. Kaam ke prabandhan ( management) ke mamle mein:
  1. work created na kiya jaa raha ho,
  2.  Kaam ke liye self employed suvidha ka na hona,
  3. Skilled aur Semi skilled workers ko salaries nahi di gyi ho.
H. Anudaan ( Grant ) ke mamle mein:
  1. anudaan uplabdh nahi ho,
  2. Anudaan ka transfer nahi hota ho,
  3. Partial anudaadn,
  4. Salary ke payment par bank dwara charge lagana.
Online shikayat kaise kare ? ( How to file online Complaint with NREGA)
 Ab chaliye jante hai us tarike ko ki kaise online shikayat darj ki jaye.

1.Sabse pahle aapko NREGA ki official website par jana hoga aur waha par apko left side thoda sa niche ( Lodge Grevance) par click karna hoga, jiski link yah hai mene di hai. yah click kare :- www.nrega.nic.in 
 Is me se aapko LODGE GRIEVANCE par click karna hoga.
Public Grievance

2.  Lodeg Grievance par click karne ke baad ab aapke samne ek state select karne ke liye window open hogi usme se aapko apna rajya select karna hoga.
nrega
3.  Rajya (State) select karne ke baad ab apke samne complaint form open hoga is complaint form ko aapko apni shikayat ke anusar bharna hoga.

nrega

nrega

nrega

Yadi aapko form fill karne mein koi problem ho ya help leni ho to aap kisi bhi time comment karke puch sakte hai.

3 comments:

  1. जानकारी के लिए धन्यवाद
    मगर इस app से शिकायत दर्ज नही हो रहा है

    ReplyDelete

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.