lawyerguruji

Police fir darj nahi kar rahi hai to kya kare ? What to do if Police refuse to Register fir

www.lawyerguruji.com

Hello Friend's,
Aaj is post mein aap sabhi ko Criminal Procedure Code, 1973 ke Section 154 ke bare mein batane ja rha hu.

F.I.R kya hoti hai ?
Section 154 ke antargat First Information Report likhwane ka pravdhan kiya hai jise hum short mein F.I.R kahte hai. F.I.R  kab likhwai jaati hai ? Is sawal ka jawab yah hai ki jab kisi vyakti ke sath apradhik ghatna ghatati hai, aur us ghatna ki jaanakri vah vyakti khud ya uske parivar walo ya dosto ke dwara jab najdiki police station mein di jaati hai, aur us jaankari ko police station ka thana prabhari ( station in-charge) apne daily diary ya rajya sarkar dwara vihit ( provide) rgister mein likhta hai, to usko F.IR report kahte hai.

Ye to maine aap sabhi ko F.I.R ke bare mein bataya ki F.I.R kya hoti hai.

F.I.R ke bare mein adhik jankari ke liye yaha click kare !

FIRST INFORMATION REPORT KI FULL INFORMATION.

Police F.I.R darj nahi kar rahi hai to kya kare ? (What to do if Police refuse to Register  F.I.R)

Yadi police F.I.R darj karne se mna karti hai, to kya kare? (What should I do If police refuse to register F.I.R)

Police janta ki sewa ke liye hote hai, jab unki bharti hoti hai aur training ke time unko yahi gyan diya jaata hai ki ve janta ki sewa karenge vo bhi bina kisi bhed-bhav ke aur unko janta ke sath accha vevhar ( Good- behavior) karne ki training di jaati hai, Sath hi sath arpadh mukt desh, rajya aur jila kaise banaya jaye iski bhi training di jaati hai.

Ab mein main mudde par aata hu ki Police F.I.R likhne se mna karti hai, to kya kare.

Jab koi bhi vyakti jiske sath apradhik ghatna ghatati hai, vah us apradh se sambandhit soochna ke bare mein police station mein jaa kar jankari deta hai, aur uski jankari ke adhar par police F.I.R likhne se mna karti hai, to aise mein aap us police station ke thana prabhari ke khilaf complaint kar sakte hai.

1.Criminal Procedure Code, 1973 ke section 154 ke anusar   Cognizable offence se sambandhit apradh ki soochna milne par police station ke thana prabhari ko F.I.R likhni hi hogi, aise mein police F.I.R likhne se mna nahi kar sakta.

2. Jab koi bhi vyakti kisi cognizable offence se sambandhit apradh ki soochna police station mein likhit (written) mein deta hai,aur usko police walo ki taraf se ek report ki copy di jaati hai, jisme police station ki mohar (seal) lagi hoti aur thana prabhari ke signature hote hai. Iske baad bhi agar case darj nahi hota hai, to aise mein wah court mein case darj karva sakta hai.
Is mamle mein  9 july 2010 ko Delhi high court nein Shubhankar Lohakar V/s State of Delhi 
ke case mein disha -nirdesh jari kiye hai. 

3. Apradh se sambandhit police station mein soochna di jaati hai aur soochna ke aadhar par shikayat darj hone par bhi case darj nahi hota hai, to aise mein shikayat-karta 15 dino ke bhitar S.P ko ek likhit shikayat patr di ja sakti hai. Is shikayat ki receiving lena jaruri hota hai.

4.Shikayat  Post, Email, ke dwara S.P ko bheji ja sakti hai ya unse milkar bhi ki jaa sakti hai.

5. Section 156(3)  ke anusar  area ke magistrate ke samne shikayat ki ja sakti hai.Yadi police shikayat likhne se mna karti hai.

6. Agar shikayat ki arji par sunvai ke time court satisfied ho jati hai,to court area ke S.H.O ko order deti hai ki vah case darj kare aur apni report court mein pesh kare.

7.Magistrate arji par police se status report dakhil karne ko kah sakti hai, aur fir jawab ke baad case darj karne ka order de sakti hai.

8.Yadi magistrate ki court shikayat ki arji ko kharij kar deti hai, to aise mein us order ko session court mein appeal ki ja sakti hai. 

9.Yadi session court mein bhi arji kharij kar di jaati hai, to aise mein High Court mein appeal ki ja sakti hai. 

No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.