lawyerguruji

Kya hai Yaun utpeedan aur Yaun utpeedan ke khilaf sja kya hai-What is Sexual harassment and punishment for sexual harassment

www.lawyerguruji.com

Hello friends,
Aaj is post mein ap sabhi ko Mahilao ke sath hone wale Sexual harassment ke bare mein aur iske liye sja ka kya pravdhan kiya gya hai uske bare mein batane ja raha hu.
Sexual harassment kahte kisko hai? Yadi koi vyakti kisi mahila ko sexually harass karta hai, to aise mein us vyakti par kanoon ki kaun kuan  se dhara lagegi aur sja ka kya pravdhan hai? Kanoon dwara us doshi vyakti ko sja kitne saal ki hogi?
Kya hai Yaun utpeedan aur Yaun utpeedan ke khilaf sja kya hai. (What is Sexual harassment, and Punishment for Sexual harassment)

Sexual Harassment kise kahte hai? ( What is Sexual harassment?) 

Sexual Harassment ke bare mein hum baat kare to kah sakte hai ki kisi bhi mahila ke sath uski marji ke bina uske sath sexual relationship banana ya sexual relation banane ke liye jor dena. Yah kai tarah ke ho sakte hai jaise:
  1. Kisi mahila ko uski marji bina touch karna.
  2. Sex se related bate karna.
  3. Sexual nature se related kisi bhi prakar ki koi bhi gatividhi jo ki Written, Oral ya touching ke dwara ki gyi ho.
  4. Kisi bhi mahila ko Phonographic photo, Movies, ya pornographic jaisi dusri cheeje dikhana.
  5.  Physical relationship ya Sexual relationship banane ki mang karna ya iski umeed karna.
Isko aur acche se samjne ke liye hum aapko kuch example batane ja rahe:
  1. Jaise maan lijiye ki ek mahila kramchari kisi company, firm, ya factory mein kaam karti hai, aur uske sah-purush karmcahri dwara usko ashleel photo, video ya ishare kiye jate hai, to ya sexual harassment kaha jayega.
  2. Jaise kisi Company, Firm ya Factory mein kaam kar rahi mahila karmcahri se us Company, Firm ya Fsactory ke Owner ya Director ke dwara us mahila karmcahri ko promotion ka pralobhan dekar Physical Relation banane ke liye kahta hai, to aise mein yah Sexual Harassment kaha jayega.
  3. Yadi kisi News paper ke Senior editor ke dwara apne junior trainee ya journalist se yah kaha jata hai ki wah ek success full journalist ban sakti hai kyoki wah physically attractive hai, to yah Sexual Harassment kaha jayega.
  4. Yadi kisi teacher dwara jo ki kisi female student ko Swimming, Dance ya aur kuch ki training deta hai, swimming aur dance shikhane ke time yadi wah student ko touch karta hai, lekin yah touch bad nahi hona chahiye , to yah sexual harassment nahi kaha jayega, lekin yahi trainer swimming ki student ko pool ke bahar aur dance student ko dance class ke bahar touch karta hai, aur yah bad touch hota hai, aur student uncomfortable feel karti hai, to yah sexual harassment kaha jayega.
Sexual Harassment ke khilaf kanoon kya kahta hai?

1. Indian Penal Code ke Section 294 ke antargat yadi kisi bhi vyakti ke dwara public place par kisi mahila ko target karte huye ashleel (obsence song) gane gaye jate hai ya ashleel bate ki jati hai, to yah Sexual harassment ke dayere mein aata hai. Yadi aise karya ko karte huye koi bhi vyakti pakda jata hai, to aise mein us vyakti par kanooni karya vahi hogi, jo ki 3 mahine ki jail ki sja ho sakti hai.

2. Indian Penal Code ke Section 354 ke antargat Yadi kisi bhi vyakti ke dwara kisi mahila se kisi bhi parkar ka sexual favour hasil karne ke liye jor dalta hai, to aise mein doshi paye jane wale vyakti par kanooni karya vahi hogi, jo ki 3 saal ki jail ya arthik jurmana ya dono ho sakta hai.

3. Indian Penal Code ke Section 354 C ke antargat yadi koi bhi vyakti kisi female ki photo uski marji ke bina click karta hai aur us photo ko wah kisi website par ya kisi dusre vyatkiyo ko share karta hai, to aise mein doshi paye jane wale vyakti ke khilaf kanooni karya- vahi ki jayegi, jo ki 2 saal ki jail ki sja ka pravdhan hai, yadi yah apradh dubara kiya jata hai, to aise mien 5 se 7 saal tak ki jail ho sakti hai.

4. Indian Penal Code ke Section 354D ke antargat yadi koi vyakti kisi mahila ka uski jankaari ke bina uska picha karta hai, to yah sexual harassment kaha jayega, doshi paye jane wale vyakti par kanooni kary-vahi hoig, jo ki 3 se 5 saal tak ki jail ki sja ya arthik jurmana ya dono se ho sakti hai.

5. Section 503 ke antargat yadi kisi bhi vyakti ke dwara kisi mahila dwara virodh kiye jane ke baad nhi uske sath sexual relationship banane ki kosis karta hai ya usko aisa karne par jor deta hai ya uske samman (dignity) ko hani pahuchata hai, to yah ek apradh hoga jo ki Sexual harassment kaha jayega. Aise doshi par kanooni karya vahi hogi, jo ki 2 saal ki jail ya arthik jurmana ya dono ho sakta hai.

6. Indian Penal Code ke Section 499 ke anusar Manhani ( defamation) ke bare mein bataya gya hai. kisi bhi mahila ke khilaf uske bare mein galat bate karna ya bolna jo ki jhoothi hai, in sabhi se uske samman ko hani hoti hai, to yah manhani kahi jayegi.
Yadi kisi vyakti ke dwara kisi mahila ki ashleel photo click ki jati hai is irade se ki uske maan -samman ko hani pahuchti hai, to yah apradh hoga, aur Indian Penal Code ke Section 500 ke anusar 2 saal ki sja ka pravdhan kiya gya hai.

7. Section 509 ke anusar yadi kisi bhi vyakti ke dwara kisi mahila ke khilaf kisi bhi public place par kisi bhi tarah ka koi bhi sexual remark banata hai, to doshi paye jane wale ke khilaf  kanooni karya vahi ki jayegi, jo ki 3 saal jail ki sja ka pravdhan hai.

8. Information and Technology Act ke section 67 ke anusar yadi kisi bhi mahila ke khilaf koi bhi vyakti kisi bhi ashleel content ya koi bhi ashleel comment online social networking ya uske phone par share karta hai jiske kaarn se us mahila ke maan-sammnan ko hani pahuchti hai, to yah apradh mana jayega. Doshi paye jane wale vyakti ke khilaf  kanooni karya vahi hogi, jo ki 2 saal tak jail ki sja ka pravdhan hai.



No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.