lawyerguruji

Kya hai POCSO Act iska naam sunte hi kyo apradhi ki rooh kap jaati hai ? What is POSCO Act and why does culprit tremble when listen the POCSO Act?

www.lawyerguruji.com

Hello Friends,
Aaj is post mein aap sabhi ko P.O.C.S.O Act ke bare mein batane ja rahu, akhir POSCO act kya hai? Yah kin apradhiyo par lagu hoti hai ? Yadi koi P.O.C.S.O ke antargat apradh karte huye paya jata hai to, aise mein sja ka kya pravdhan kiya gya hai ? Aur bhi is Kanoon se judi bato par aaj hum gour se dhyan denge. kyoki yah Act bahut hi gambhir apradh ko rokne ke liye banaya gya hai.
Kya hai POCSO Act  iska naam sunte hi kyo apradhi ki rooh kap jaati hai ? ( What is POSCO Act and why does culprit tremble when listen the POCSO Act?)


To, chaliye ab hum baat karte hai is P.O.C.S.O Act ke bare mein.

P.O.C.S.O Act kya hai ? ( What is P.O.C.S.O act)
Sabse pahle hum yah jaan lete hai ki iska full form kya hai? ( THE PROTECTION OF CHILD FROM SEXUAL OFFENCES ACT) is kanoon ko 2012 mein lagu kiya gya. Jiska mukhya maksad baacho ke upar ho rahe sexual offences ko rokna hai. kyoki jab is tarah ka kanoon nhi bna tha tab ye apradhi apradh kar ke bach nikalte thay ya nyayik prakriya ke itne lambe time tak chalne ki wajah se in apradhiyo ko sja milne mein deri hoti thi, aisi khamiyo ko door karne ke liye 2012 mein PCSO Act banaya gya. Taki yadi koi bhi vyakti baccho ke sath sexual intercousre karta hai, unko dhamka kar, ya jabaran, to aise mein in apradhiyo ke khilaf turant karya-vahi ho, aur jald se jald kanoon se sja dilvai ja sake.

India mein kai aise kanoon hai jo ki baccho ki protection ke liye banaye gaye hai. Unhi mein se ek hai POCSO ACt. Is kanoon ke antargat baccho ke upar ho rahe sexual assault se bachane ke liye kai pravdhan kiya gaye hai. Hum aap aksar TV, News paper mein yah sunte aur padhte hai ki har roj ek baccha sexual assault ka shikar hua.
School mein padha rahe teacher dwara hi bacche ke sath sexual harassment jaisa gambhir apradh kiya gya.
Hospital mein hospital staff ke dwara bacche ke sath sharirik dush karma kiya gya.
Police station mein ya police staff ke kisi police dwara bacche ke sath sexual offence kiya gya.
Jadatr mamle to aise aate hai jinki protection mein aap apne baccho ko chodhte hai, unhi ke dwara bacche ke sath sharirik dush karma kiya gya hai.

Yadi koi bhi vyakti aisa karta hua paya ya pakda jata hai , to aise mein doshi vyakti ke sath kadi se kadi kanooni karya vahi ki jayegi, jo ki us vyaki ko jail ki sja is adhiniyam ke anusar hoig.

Yadi is apradh ko 2 ya 2 se jada vyaktiyo ke sath milkar kiya jata hai, bacche ko dra dhamka kar, ya chaku ki noke par usske sath jabran sex kiya jata hai, to aise mein us doshi apradhi ko isi adhiniyam ki dhara 6 ke antargat 10 saal ki jail ki sja se lekar ajivan karavas ki sja ka pravdhan kiya gya hai.

Section 3: P.O.C.S.O adhiniyam ki dhara 3 ke anusar  Penetrative sexual assault ke bare mein bataya gya hai.
Agar koi bhi vyakti kisi bacche ke sharir ke kisi bhi bhag/ hisse mein koi cheej ya apna niiji ang (private part) dalta hai ya bacche ko apne sath ya kisi ke dusre vyakti ke sath aisa karne ke liye kahta hai.

Section 4: P.O.C.S.O adhiniyam ki dhara 4 ke antargat sja ka pravdhan kiya gya hai. Yadi koi bhi vyakti kisi bacche ke sath sexual intercourse karta hai, usko dra dhamka kar ya jabarn to aise mein doshi paye jane wale vyakti par P.O.C.S.O ke antargat kanooni karyvahi ki jayegi aur sja di jayegi. Isme 7 saal se lekar ajivan karavas ki sja ka pravdhan kiya gya hai.

Section 8: P.O.C.S.O adhiniyam ki dhara 8 ke anusar yah pravdhan kiya gya hai ki yadi koi bhi vyakti kisi bacche ke private part ko touch karta hai, ya us bacche ko apne private parte touch karne ko kahta hai, to aise  mien us vyakti par kanooni karyavahi hogi, joki 3 saal se lekar 5 saal tak ki jail ki sja ho sakti hai.

Is adhiniyam ke aa jane se ab baccho ke upar ho rahe sexual offences mien bhi ab kami ayi hai, kyoki aise apradh mein doshi paye jane par sja 7 saal se lekar ajivan karavas ki hai, aur iska nirnay baut jaldi hota hai ki apradhi ko kya sja di jani hai.
Abhi tak kai mamlo mein is apradh ko kiye jane par doshiyo ko sja bhi mil chuki hai, aur ve jail ki char-diwari mein kaid bhi hai.

Kya POCSO  Bailable hai ?
No,
Yadi koi bhi vyakti kisi bacche ke sath sexual assault jaisa gambhir apradh karta hai, to aise mein us vyakti ki giraftari turant hoti hai, aur yah Non-bailable offence hai. Iska taril session court mien hota hai.

Kya Police bina warrant ke giraftar kar sakti hai ?
Yes,
Yadi koi bhi vyakti kisi bacche ke sath duskarm karta hai, aur iski shikayat victim ke ghar wale apne najdiki police station mein karte hai, jisme ghar wale is apradh se sambandhit puri jankari police ko dete hai, yah jankari likhit (written) ya bol kar (oral) di jaati hai, to aise mein us police station ka Thana-in charge us apradhi ko jisne yah sexual assault jaisa gambhir apradh kiya hai, us vyakti ko police bina kisi warrant aur bina magistrate ki permission ke giraftar karne ka pura adhikar rakhti hai. Wah aropi ko turant giraftar kar ke giraftari ke 24 ghante ke bhitar area ke magistrate ke samne pesh karegi ya 24 ghante ke bhitar court ke samne pesh karegi.

Kya victim ko khud police station mein ja kar F.I.R report likhwani hogi ?
No, 
Yah jaruri nahi hai ki victim khud police station mein ja kar is apradh se sambandhit report likhwaye. Is apradh ki shikayat victim ke ghar wale, ristedar ya to victim ke friend's bhi report likhwa sakte hai.
F.I.R likhwane ke liye shikayat written mien di jani chahiye, aur written mein di gayi shikayat patr ko police wale dwara padh kar sunani chahiye aur is shikayat ke adahar par darj ki gyi F.I.R ki ek copy shikayat-karta ko Free of cost mein deni hoti hai.

Victim ko kin bato ka dhyan rakhna chahiye jab statement record kiya ja raha hai?

  1. Jab police victim ka statement record karti hai, to aise mein victim dwara statement simple language mien dena chahiye.
  2. Women or Child ko police overnight apni hirasat mein nahi rakh sakti hai.
  3. Yadi shikayat ko koi anya jaruratey hai, to usko bhi pura kiya jayega.
  4. Police dwara us victim ki pehchan (identity) media aur public mein nahi publish ki jayegi.
  5. Yadi victim ko ek translator ki jarurat hai, to aise mein  us victim ke liye translator provide karaya jayega jo ki uske statement ko translate kar police ko batayega.
  6. Police dwara janakri prapt karne ke 24 ghante ke bhitar victim ko medical treatment aur medical examination ke liye najdiki hospital mein le jaya jayega.
Yadi sexual assault ki ghatna kisi bacche ke sath hoti hai, to kaise statement record hoga ?

  1. Police bina uniform ke us bacche ke samne jayegi, kyoki bacche police ke name se bahut darte hai.
  2. Police us bacche ka statement us jagah record karegi jaha bacche ko comfort feel hota ho,
  3. Statement record karne wala police Sub-inspector ki rank se kam ka nahi hoga, sath mein Women police ha bhi hona jaruri hai.
  4. Child trust statement ke time present rahega.
  5. Abhiyukt / Apradhi bacche ke sath kisi bhi tarah se sampark mein nahi ana chahiye.
  6. Yadi baccha mansik aur sharirik roop se sahi nahi hai ,to aise mein us abnormal child ke liye ek educator ya expert bulaya jayega.
  7. Yadi yah possible ho to bacche ka statement electronic roop se record bhi kiya ja sakta hai.
  8. Yadi jarurat ho to bacche ko najdiki Shelter home mein emergency awas ke liye le jayegi aur Child Welfare Committee ke samne pesh karegi.
  9. POlice  Child Sexual Offences se sambandhit sari report ko 24 ghante ke bhitar Child welfare Committee aur Special Court mein report karegi.

No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.