lawyerguruji

Income certificate online kaise banvaye ? How to apply online for Income certificate

www.lawyerguruji.com

Hello friend's,
Aaj is popst mein aap sabhi ko yah batane ja rha hu ki Online Income Certificate kaise banvaye. Income certificate ek aisa certificate hota hai jisme aapke income ke bare mein likha hota hai ki aap ki annual income kitni hai.

Income Certificate kyi hai Jarurui ?
Income certificate ki jarurat hume tab padti hai jab hum kisi Government College mein ya Private College mein admission lete hai. Admission ke baad college mein scholarship form fill kiye jate hai,To aise mein kuch important document bhi scholar-ship form ke sth lagaye jaate hai, In document mein se ek hai Income Certificate. Jab bank mien hum Loan ke liye aaply karte hai, to loan form mein hume document ke sath income certificate ki bhi ek copy lagani hoti hai.

Income certificate online kaise banvaye ? ( How to apply online for Income certificate.)

Online Income Certificate banwane ke liye important document ?
Online Income certificate banwane ke liye aapko kuch imprtant document ki bhi jarurat padegi, to aap in sabhi document ko pahle se taiyar kar le.

  1. Residential certificate ka hona bahut jaruri hai, vyakti ka us rajya ka nivasi hona jaruri hai, jahan par wah income certificate banwana chah rha hai.
  2. Gram Pardhan ya Patwari ke dwara signature ki hui report.
  3. Address Proof jaise-  Passport, Votor Id, Aadhar card, Registered rent agreement, Bank pass book.
  4. Identity Proof jaise-  Votor ID, Aadhaar card, Driving license, Passport.
  5. Proof of Date of birth jaise- Birth certificate, School leaving certificate, Passport, Pan card.
Online Income Certificate apply karne ka tarika kya hai ? 
1.Sabse pahle aapko apne state ki e-district ki website pe jana hoga jaise aap Uttar Pradesh ke rahne wale hai, to aise mein aapko E- district Uttar Pradesh ki website par jana hoga. weibsite ki linkh ye  hai http://edistrict.up.nic.in/index2-en.aspx  . Yaha se aapko Application form download karna hoga.

2. Form Download kar lene ke baad aapko isko acchi tarah se puri sahi jankari ke sath bharna hoga. 

3. Jab aap yah Income certificate bhar le, to isko aap apne village ke Gram Pardhan ya to City ke  Parshad se verify karva le.

4. Is Form ko village ke patwari se bhi verify karva le.

5. In sabhi ko pura karne ke baad ab aapko apne area ke CSC ( Common service center) jana hoga. Apna Common service center jaane ke liye yaha click kare.   Service center.

6.  Common service center mein jana hoga waha ke operator par baithe vyakti ko apne income certificate banwane ke bare mein batana hoga, uske kahne ke anusar aapko apne document ki copy deni hogi.

7.Common service center par baitha operator aapke dwara di gyi jankari ke anusar apke document ki sari janakri online fiil up karega aur aapko ek CIDR ID generate kar ek dega.

8. Service center par baitha operator aapke dwara diye gye document ko scan kar usko online upload kar dega.

9. Operator ke dwara fill kiya gya aapka online form aur scan document upload ho jane aur form se sambandhit sari jankari fill kar dene ke baad aab aapka form online hi tehsildar ya nayab tehshildar ke bhej diya jayega.

10. Apke form ki rasid (receipt) aapko operator dwara di jayegi.

11. Nayab tehsildar ke paas online bheje gaye aapko income certificate form aur document ko wah acchi tarah se check karega yadi aapke form mein koi kami pai jaati hai, to aise men Common service center ke dwara aapko message karke soochit kiya jayega.

12. Yadi aapke dwara di gayi sabhi jankari aur form ke sath diye gaye sabhi document sahi paye jaate hai, to in form aur document ke aadhaar par aapke area ka tehshil dar aapka Online Income Certificate jaari kar usme apne Electronic signature karega.

13. Aapka Income Certificate taiyar ho jane ke baad aapke area ke Common service center mein bhej diya jayega jiski soochna aapko apke registered mobile number par de di jayegi.

14. Ab aap apna Income Certificate Common service center mein jaa kar le sakte hai.

Income Certificate ko banwane mein kam se kam 1 hafte lag sakte hai, Yadi in 1 hafte ke bhitar aapko koi jankari nahi milti hai, to aise mein aap apne area ke Common service center ja kar iske bare mein janakri le sakte hai.  



No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.