lawyerguruji

Mahilao se jude 5 kanooni adhikar- 5 legal right related to women's

www.lawyerguruji.com
Hello friends,
Aaj is post mein aap sabhi ko mahilao se jude un adhikaro ke bare mien batane ja rha hu, jin adhikaro ke bare mein har ek mahila ko malum hona chahiye jo bhartiya knoon aur Bhartiya Sanvidhan dwara khas kar mahilao ko diye gye hai.

Aksar mahilao pe kai tarah ke atyachar kiye jaate hai. chahe vo gharelu ho ya saamajik, in atyacharo se bacahne ke liye bhartiya kanoon ne mahilao ke liye kai parkar ke kanoon banaye hai. Aaj hum unhi kanooni adhikaro ke bare mein batane ja rhe .
Mahilao se jude 5 kanooni adhikar. ( 5 legal right related to women's)

1. Giraftari se hai rok.
Supreme court ne yah nirdesh diya hai har ek police adhikari aur us vyakti ko jiske pass kisi vyakti ko giraftar karne ka kanooni adhikar hai, vah har sarkari adhikari jo police force mein hai, vah kisi bhi mahila apradhi ko sham 6 baje ke baad aur subah 6 baje se pahle giraftar kar police station me nhi rakh sakta hai, iska ullekh criminal procedure code ke section 46 mein kiya gya hai.
Yadi kisi mahila ko giraftar karna bahut jaruri hai to, pahle magistrate se anumati leni hogi aur giraftari ke liye police mahila karmchari ka sath hona bahut jaruri hai, koi bhi inquiry ji bhi hogi vah mahila police karmchari ke samne hi hogi.

2. Mahila kisi bhi police station  mein kar sakti hai FIR.
Mahilao ko yah adhikar kanoon ki taraf se mila hai, ki ve kisi bhi police station mein FIR darj karva sakti hai, Chedchad, Rape, ya kisi bhi tarah ka atyachar mahilao par kiya jata hai to ve in atyachar ke khilaf First Information Report kisi bhi police station mein darj karva sakti hai. Chahe vah apradh sambandhit police station ke area mein hua ho ya na hua ho. Baad mein vah police station us report ko us sambnadhit police station mein transfer kar sakta hai.
Nirbhaya kand ke baad Kendriya sarkar ne yah adesh sabhi police station ko de diya hai ki mahilao ke dwara apradh se sambandhit di jane wali jakari par turant FIR likhi jaye, yadi koi bhi adhikari in adehso ka palan nahi karta hai, to uske khilaf uchit karyvahi ki ja sakti hai.

3. Mahilao ko prapt hai nijta (privacy) ka adhikar.
Mahilao ko prapt hai unki nijta (privacy) ka adhikar. Yadi kisi bhi mahila ka kisi mamle mein nam ata hai, to iase mein police ya media ko yah adhikar nahi hai ki vah us mahila ke naam ko ujagar kare. Victim ka nam ujagar karna Indian Penal Code ke antargat apradh mana gya hai. Kisi victim mahila ka nam ujagar karne se isliye mnahi hai, yadi aisa kiya jaata hai to us mahila ki jo izzat hai samaj mein  vha kharab ho jayegi. Rape se pidhit mahila apna bayan direct magistrate ko likhwa sakti hai. Vaha magistrate aur us mahila ke siwaye aur koi nahi rah sakta hai.

4.Mahilaye Online bhi complaint kar sakti hai.
Mahilao ko online complaint darj karvane ki bhi suvidha sarkar ki taraf se pradan ki gyi hai.Yadi kisi karn vas koi mahila police station mein ja kar apni complaint nahi darj karva akti hai, ya us mahila ko yah dar lagta hai ki yadi vo bahr jaati hai to kahi fir se ve apradhi usko koi nuksan na pahucha de, to aise mein ve mahila online complaint darj krava sakti hai.
  1. Mhaila apni complaint post ke dwara Deputy commissioner ya commissioner post ke kisi bhi adhikari ko likhit mein apni complaint de sakti hai.
  2. Complaint milne ke baad vo officer us area se sambandhit police station ke thana adhikari ko karya vahi ke adesh deta hai.
  3. mahilaye Mail dwara bhi complaint kar sakti hai.  
  4. Complaint ke liye mahilaye online complaint form bhi bhar sakti hai, form bahrne ke baad unko ek SMS prapt hota hai, ki unki complaint darj kar li gyi hai.
  5. Complaint tracking number bhi usi SMS dwara hi ata hai.
5.Muft kanooni salah parpt karne ka bhi adhikar hai.
Sarkar dwara mahilao ko muft kanooni salah bhi pradan kiye jane ka pravdhan hai. Yadi koi mahila jo ki Rape se pidhit hai vah muft kanooni salah parpt karne ka adhikar rakhti hai aur iski mang kar sakti hai. Yah jimmedari us station ke adhikari ki hoti hai ki vah kanooni salah muft mein pradan karaye. Vidhik seva pradhikarn ko jald se jald suchit kar ek kanooni salahkar (advocate) ko appoint kare.


No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.