lawyerguruji

kya aapko apne fundamental right ke bare mein jankari hai? Do you know about your fundamental rights

www.lawyerguruji.com

Hello friend's,
Aaj is post mein ap sabhi ko aapke fundamental right's ke bare mein batane ja rha hu, jo Indian Constitution ke anusar har nagrik ko diye gye hai. Yah ve adhikar hai jo har nagriko ke fundamental right's hai.
kya aapko apne fundamental right ke bare mein jakaari hai? ( Do you know about your fundamental right's)

Indian Constitution ke third part mein nagriko ke mool adhikaro ki puri jakaari di gyi hai. Kya apko malum hai ki Indian Constitution mein ye Fundamental right kaha se kiye gye hai, to aj hum aapko yah bhi batane ja rhe hai ki yah fundamental right's America ke constitution se liye gaye hai. Fundamental right's vyakti ke  ethical, physical aur spiritual development ke liye bahut jaruri hote hai. Jis prakar se har vyakti ko jivan jine ke liye Jal, roti, kapda aur makan ki jarurat hoti hai, vaise hi, har vyakti ke vikas ke liye funamental right's bhi utne hi jaruri hai.
Indian Constitution ke ansuar Fundamental Right's ko 6 part mein divide kiya gya hai.

Fundamental right's hote kitne prakar ke hai ? ( How many type's of fundamental right's)
  1. Right to equality.
  2. Right to freedom.
  3. Right against Exploitation.
  4. Right to freedom of religion.
  5. Right to Cultural and education.
  6. Right to Constitutional remedies.
Fundamental right ke antargat yah bhi kaha gya hai ki ve sabhi kanoon, jo Constitution ke shuru hone se pahle jo India mein lagu thy, unke part lagu rah jayenge jo ki constitution ke anukool ho matlab usne mail khate hai. Yah bhi kaha gya hai ki State aisa koi bhi kanoon nahi bna sakta jo ki fundamental right's ka ullanghan na kare.. State se matlab hai Union Givernment aur state Government dono se hai.

1. Samanta ka adhikar. (Right to equality)
Samanta ka adhikar ke antargat rajya ki taraf se Dharm, moolvansh, Jati, ling, ya janm sthan ke adhar par kisi bhi nagriko se kisi bhi prakar ka koi bhi bhed bhav nahi kiya jayega. rajya ki najar mein har vyakti ek saman hi mana gya hai. Lekin Rajya ko yah bhi freedom di gyi hai ki vah rajya ke striyo aur baccho aur pichde varg (backward) ke logo ke liye visesh suvidha ke niyam banane ka adhikar diya gay hai.

2. Svatantrata ka adhikar ( Right to freedom)
Democracy mein freedom ko hi jivan kaha gya hai. Har nagriko ko yah jaruri hai ki unhe lekhan, bhasan aur apne bhav vyakt karne ki svatantrata di jaye, unhe kam se kam rajya sarkar dwara yah bharosa diya jaye ki unki dainik svatantrata ka bina kisi karn ke vanchit na kiya jaye.
  1. Bhasan aur apne bhav ko vyakt karne ki svatantrata har  vyakti ko di hyi hai.
  2. shanti-purvak bina kis hathiyar ke ek jagah milne ka bhi adhikar hai.
  3. Group ya union banane ki bhi ajadi di gyi hai.
  4. Rajya ke kisi bhi city ya ek jagah se dusri jagah ane jane aur ghumne ki puri ajadi hai.
  5. Kisi bhi tarah ka profession select karne ki ajadi hai.
  6. Apradho ke liye dosh siddhi ke visay mein sanrakshan (protection).
  7. life aur personal liberty ka protection.
  8. kuch dasaho mein giraftari aur nirodh (detention) se protection.
3.Exploitation ke virudh adhikar.(Right against Exploitation)
Indian constitution ke anusar human being ko kharidna aur bechna , ya begar aur kisi anya prakar ka jabardastti kisi vyakti se kaam karaya jaata hai to ise apradh mana jayega aur yah indian constitution ke anusar ispar pratibandh bhi lagaya gya hai. 14 saal se kaam umar wale baccho kisi industry, factory ya shop par kaam karne ke liye na lagaya jayega aur na hi unko kaam karne ki anumati hi di jayegi.

4.Dharmic svatantrata ka adhkar. (Right to freedom of religion)
Indian Constitution ke anusar India ek secular country hai, jahan har dharm ko izzat di jati. Article 25, 26, 27, aur 28 mein dharmic svatantrata ka adhikar diya gya hai. Rajya mein kisi bhi dhram ko pradhanta nahi di jayegi, secular state ka matlab yah nahi hai ki vah rajya dharm-virodhi rajya hai.
  hai. Har vyakti ko apne dharm ka palan karne ka adhikar hai lekin kisi bhi vyakti hani pahuchaye bina.

5.Sanskriti aur siksha se sambandhit adhikar. (Cultural and Educational right's)
Indian Constitution ke dwara Indian Citizen ke cultural ko bachane ka bhi prayas kiya gya hai.  Alpshankyako (Minorities) varg ke logo ki siksha (education)  aur  sanskriti (cultural) ke hito (interest) ki raksha ka bhi pravdhan bhi kiya gya hai. Bhartiya nagriko ke kisi bhi samooh (group) ko jo bharat ke kisi bhi rajya, sahar ya gavn mein rahta ho uske  apni bhasa (language), lipi aur sanskriti (cultural) ko surakshit rakhne ka adhikar hai. Bharat mein rahne wale kisi bhi vyakti ko uske dharm ke  adhar par siksha se vanchit nahi kiya jayega.

6.Sanviadhanik upcharo ka adhikar. (Right to Constitutional Remedies)
Indian Constitution ke dwara fundamental right ke ullanghan hone bachane ki bhi vevastha ki gyi hai. Constitution ke anusar Supreme Court ko fundamental right ka sanrakshak (Protector) mana gya hai.
Bharat mein rahne wale har ek nagrik ka yah adhikar hai ki, yadi uske fundamental right ka ullanghan hota hai ,to iski appeal supreme court aur high court mein kar sakta hai.












No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.