lawyerguruji

Bhartiya Dand Sanhita ki kuch jaruri dharay- Some Important Section of The Indian Penal Code 1860

www.lawyerguruji.com

Hello Friends,
Aaj is post mein aap sabhi ko Indian Penal Code 1860 ke kuch important Section ke bare mein batane ja rha hu, jinke bare mein aap sabhi ko gyan hona jaruri hai.Ye ve section hai jinke gyan hone se aap sabhi ko bahut help milegi aur aap logo ko indian law ke bare mien bhi jankari hoti rahegi. Indian Penal Code, 1860 mein crime aur crime ki sja ke bare mein bataya gya. kis prakar ke apradh mein kaise sja ka pravdhan diya hai.

Bhartiya Dand Sanhita ki kuch jaruri dharaye. ( Some Important Section of The Indian Penal Code, 1860.)


To, chaliye ab hum baat karte hai, Indian Pebnal Code, 1860 ke kuch important section ke bare mein,

1. Section 153 (a)- Yah dhara un logo par lagai jaati hai, jo vyakti Sex, Religion's, Caste, Language ke aadhar par logo mein nafrat failane ka kaam karte hai, Is section 153 ke antargat yadi koi bhi vyakti doshi paya jata hai, to aise mein 3 saal ki jail ki sja ya to ajivan karavas ya to jurmana bhi dena pad sakta hai, ya in dono se bhi.
Yadi koi vyakti Sex, Religion, Caste, aur language ke aadhar par logo mein nafrat failane ka kaam kisi dharmik sthal ( Religious place) karta hai, to aise mein doshi paye jane apr 5 saal ki jail ya jurmana bhi dena pad sakta hai.

2. Section 3 -  Indain Penal Code, 1860 ke section 3 aise apradho ki sja ke bare mein hai, jo ki India se bahar kiye gaye hai, kanoon ke anusar us vyakti ko india mein hi pesh kiya jayega aur yahi ke court mein uske dwara kiye gaye apradh ki sunvai hogi.aur sja bhi usko india mein hi milegi.

3.section 34- Indian Penal Code , 1860 ke anusar yah bataya gya hai, yadi koi bhi apradh kai vyaktiyo dwara milkar ek sath ek hi maksad ( intention) ke liye kiya jata hai , to aise mein vah har vyakti us apradh ke liye jimmedar hoga jaise ki us apradh ko us vyakti ne akele hi kiya ho.

4. Section 186- Indian Penal Code ke section 186 ke antargat yadi koi bhi vyakti kisi sarkari kaam mein badha (disturbance) pahucata hai, to aise mein us vysakti ko isi section 186 ke antargat 3 month ki jail aur 500 rs ka jurmana bhi dena pad skata hai, ya in dono se.

5.Section 120 (a) 120 (b) - Indian Penal Code ,1860 ke section 120 (a) aur 120 (b) mein yah bataya gya hai, ki yadi koi bhi vyakti kisi bhi apradh ko milkar sajis ke sath karta  hail to aise apradh ko Criminal Conspiracy kha jayega.
In apradho mein vyaktiyo ki sankhya  (number) 2 ya 2 se jada hoti hai, aisa isiliye kyoki ye apradh logo ke dwara milkar hi kiye jate hai, Yadi aapne kisi vyakti ki hatya bhale hi n ki ho, par doshi aap bhi paye jayenge kyoki aapne us apradh mein  sath diya hai.

Yadi koi bhi vyakti criminal conspiracy jaise apradh mein shamil ya doshi paya jata hai, to aise mein us vyakti ko  Fasi, ajivan karavas ya 2 saal ki jail ya 2 saal se jada ki jail ki sja ho sakti hai.
Anya mamlo mein yah sja 6 month ki jail ya jurmana dena pad sakta hai, ya dono se.

6. Section 292 -Indian Penal Code ke section 292 ke antargat yadi koi bhi vyakti samaj mein ashleelta failata hai, jaise Ashleel sahitya, Asleel chitra ya film ko dikhana ya vitrit karna aur isi prakar ka labh kama ya labh mein kisi prakar ki koi bhagidari mein shamil hota hai ,to aise mine us vyakti pahli bar doshi paye jane par 2 saal ki jail ki sja aur 2000 rs jurmana bhi dena pad sakta hai. Yadi koi bhi vyakti aise apradh mein dusri baar ya bar bar doshi paya jaatah hai, to aise mein 5 saal ki jail ki sja aur 5000 rs jurmana bhi dena pad sakta hai.

7. Section 304 (a) -Indian Penal Code, 1860 ke section 304 (a) un logo par lagai jaati hai, jinki laprwahi se kisi bhi vyakti ki jaan jaati hai. Is section 304(a) ke antargat yadi koi bhi vyakti doshi paya jata hai, to aise mien  us vyakti ko 2 saal ki jail ki sja ya jurmana ya dono se sja ho sakti hai.
Jadatar is  section ko un logo par lagaya jata hai, jinki wajah se road accident mein logo ki jaan chali jati hai.

8. Section 304 (b) -  Indian Penal Code 1860, ke section 304 (b) ke antargat yah bataya gya hai, ki yadi shadi ke 7 saal ke bhitar kisi mahila ki jalne, chot lagne ya dusri asamanya vajaho se us mahila ki mrityu hoti hai, ya yah paya jaata hai, ki us mahila ko dahej ke liye uske pati aur uske pati ke ghar walo ki taraf se us mahila ko mara gya hai ya pareshan kiya gya hai jiski vajah se usne khud-khusi kar li hai, to aise mien apradh karne wale vyakti par dahej hatya ka arop lagega aur us vyakti ko kanoon ki taraf se sja bhi di jayegi. Ismien doshi paye jane par apradhi ko 7 saal ki jail ki sja ya 7 saal se adhik ki jail ki sja bhi ho sakti hai.

9. Section 302- Indian Penal Code 1860 ke section 302 mein yah bataya gya hai ki yadi koi bhi vyakti hatya ka doshi paya jaata hai ,to us vyakti isi section 302 ke anusar sja di jayegi. jo ki ajivan karavas, Fasi ki sja, ya jurmana bhi dena hoga ya dono se.
Hatya ke mamle mein jadatar police ko yah sabit karna hota hai, ki jis vyakti nien hatya ki hai us vyakti ka kya irada tha aur kya maksad tha ,jiske kaaran us vyakti ne hatya ki hai.

10. Section 294 - Indian Penal Code ke section 294 ke anusar yadi koi bhi vyakti kisi bhi sarvjanik jagah par ashleel harkato mien lipt ya shamil paya jata hai, to aise miein us vyakti ko 3 month ki jail ki sja aur jurmana bhi dena pad sakta hai. ya dono se hi.

No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.