lawyerguruji

Dahej hatya-dowry death dahej pratibandh adhiniyam 1961 -dowry prohibition act 1961

www.lawyerguruji.com

Dahej Pratibandh Adhiniyam 1961 ( Dowry Prohibition Act 1961 ).
Dahej hatya ( Dowry Death)

Nanaskar dosto,
jaisa ki mein apne blog pr aap sabhi ko kanoon se sambandhit jankri   deta rahta hu vese hi aaj mein aap logo ko Dhej ( Dowry ) jo ki vivah ke samay ( time ) ladki walo ki taraf se ladke walo ki demand par diya jata hai.
Dahej hatya ( Dowry Death), Dahej Pratibandh Adhiniyam 1961 ( Dowry Prohibition Act 1961 ).

Dahej ( Dowry ) kahte kise hai aur ye hota kya hai ? ( What is Dowry ).
Dahej jise english word mein Dowry kahte hai. JIska matlab hai us property se jo vivah ke time Vadhu (Bride) ke parivar walo ki taraf se var ( Groom ) ko diya jata hai.
Vadhu  ( Groom ) ke parivar dwara nakad ya vastu ke roop mein Var ( Groom ) ke parivar ko vadhu ke sath diya jata hai. Aaj ke is modern jamane mein dahej pratha nam ki burai har jagah fiali hui hai.

Dahej hatyaye ( Dowry Death ).
Hamare bharat desh mein striyo ( women's ) ko devi mana gya hai. Par bura tab lag jata hai jab yahi log stri ko devi kahne wale in par jurm karte hai, Aur in mahilao ko dahej ke liye mar dete hai.  AAj kal har vivah mein dahej ki mang ki jati hai aur dahej na milne vadhu ki bidai ke bad jab ve gahr aati hai to un par kai atyachar kiye jate hai dahej na lane ke nam par.

Desh mein lagbhag har ek ghante mein ek mahila dahej sambandhi karano se mrityu ka shikar ho jati hai. Abhi saal 2007 se 2011  ke madhya is prakar ke mamlo me kafi vridhi hui hai jo hamare samaj ke liye sahi nahi hai.

National Crime Record  Bureau ke record yah batate hai ki kai alag rajyo ( state )se saal 2012 mein dahej hatya ( dowry death ) ke 8233 mamle samne aye hai.   record ke ansuar yah malum hota hai ki har ek ghante mein ek mahila (women ) dahej mrityu ki shikar hoti hai.

Dahej ke virudh kanoon kya kanoon banaya gya hai ?
 ( What law has been made against dowry death ?)

  1. Dahej nisedh adhiniyam ( Dowry Prohibition Act 1961) ke anusar dahej lena aur dahej dena, ya iske len-den mein sahyog (help) karna bhi apradh hai. Aise mamle doshi paye jane par 5sal ki jail, 15000 rupya jurmana ya dono sja ka pravdhan hai.
  2. Dahej ke liye ghar ki mahila ya parivar mein kisi bhi mahila ko pareshan karna bhi ek apradh hai. Aise mamle mein doshi vyakti ko Indian Penal Code ki dhara (section ) 498 A mein sja ka pravdhan diya gya hai. Yadi husband ya uske relative unconstituitonal demand karte hai to 3 saal ki jail aue jurmane bhi dena hoga.
  3. Yadi ladki ke saural wale use uske stridhan dene se mna karte hai to , Indian Penal Code ki dhara 406 ke anusar doshi paye jane par 3 saal ki jail aur jurmana bhi dena hoga ya in dono prakar ki sja bhi sakti hai.
  4. Yadi kisi bhi vivahit ( married girl) ki vivah ke 7 saal ke bhitar mrityu ho jati hai to aur yahg sabit kar diya jata hai ki mrityu se pahle dahej ki mang ki gayi aur use mara gya aur us par julm kiya gya tha. to Indian Penal Code ki dhara 304 bhi ke antargat ladki ke husband aur relative ko kam se kam 7 saal se lekar ajivan jial ki sja ho sakti hai.

Dowry Prohibition Act 1961 ke kuch important Section.

Section 2 - Dahej ka matlab ( What is dowry )
Dahej ka matlab hai vivah ke samay var ko vadhu ke parivar dwara di jane wali vastu. Yaha vastu se matalb hai rupya, furniture, Refrigerator, Television, Motor Cycle, aur bhi anya uphar jo var ko vadhu ke parivara aur ristedaro ke dwara diya jata hai.

 Section 3- dahej lene aur dene mein sja ( punishment ) 
Dahej jaisi kupratha ko rokne ke liye dahej nisedh adhinyam banaya gya hai. jiski dhara 3 mein sja ka bhi pravdhan hai.  Dahej lena aur dena bhi ek apradh hai yadi koi is mamle mein doshi paya jata hai to kam se kam 5 saal ki jail aur 15000 hajar rupya jurmana, ya utni rakam jitni kimat uphar (gift) ki ho, ye sja ho sakti hai.

Section 4 -dahej ki mang karne par jurman.( Dowry Demand )
Yadi var (Groom) ke Father, mother, Guardian, Relative, direct ya indirect dahej ki mang karte hai to unhe kam se kam se 6 month aue adhiktam 2 saal ki jail aur 1000 hajar rupya tak jurmana ho sakta hai.

Section 4 A- Vigyapan dene par ban ( Ban on Advertising)
kisi bhi vyakti dwara yadi news paper, electronic media ya anya kisi bhi prakar se putr ya putri ke shadi ke badle mein business ya property ka koi offer bhi dahej ki category mein ata hai to use bhi kam se kam 6 month ki jail aur adhiktam 5 saal ki jail ho sakti hai sath mein 15000 hajar rupya jurmana bhi dena hoga.

Section 5 - Dahej lene aue dene ka koi bhi karar sunya hoga.
Yadi dahej lene aur dene ke liye koi bhi karar hota hai to vah sunya (void) mana jayega.

Section 6-  Patni ya uske uttra-adhikariyo ke labh ke liye dahej ( Dowry to be for the benefit of the wife or her heir ) 
Jaha koi dahej kisi bhi vyakti ko uske vivah ke sambandh mein kisi anya vyakti dwara prapt kiya jata hai, us vyakti ko use mahila ko dena hoga ,

  1. Agar dahej vivah se pahle prapt hua tha to vivah ke bad 3 month ke bhitar usey de diya jayega.
  2. Yadi dahej prapt kiya gya tha jab vah nabalig thi to uske balig ho jane par 3 month ke bhitar usey de diya jaye.
  3. Yadi mahila ki mrityu ho jati hai to uski santan (children) ko de di jayegi.
  4. Yadi mritak mahila ki koi santan (Children) nahi hai to, uske abhivavak ( guardian ) ko de di jayegi.



2 comments:

  1. Sir meri cousin ka dahez ka cese chl RHA h jisme Sara saman gold jewellery nd 3.90000 rup alto car k nam se or 1,10000 rup total 5 lakh case dia police bolti h sirf dahez k rup me saram hi vaps le skte h kya hmari gold jewellery or case vaps nhi mil skta ...jbki ldke vale ne police samne bola v h case or gold dia ta plss ans my question

    ReplyDelete
    Replies
    1. जब न्यायालय मे मुकदमा चल रहा है तो इसमे पुलिस क्या करेगी, जो करना है आपके वकील जी और न्यायालय मे बैठे न्यायधीश को करना है । क्या याचिका दायर करते समय दहेज मे दिये गए समान और नकदी का उल्लेख किया गया है ?

      Delete

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.