lawyerguruji

bhartiya dand sanhita ki dhara 304 B kya kahti hai? Dowry death section 304B of The Indian Penal Code

www.lawyerguruji.com

Hamare bharat desh me mahilao ko devi mana jata hai. par hamre samaj mein aise bhi kuch log hai jo in mahilao par kai prakar ke atyachar karte hai. Unko kai prakar ke tane marna, unhe bura kahna aur marna pitna aadi.
 Hume aur aapko aksar TV aur news paper par yah ekhne aur sunne ko milta hai ki bharat mein har ek ghante par 1 mahila ki dahej ke karan hatya hoti hai.  ye mahilaye apne pita (father) ke ghar se dahej na la pane ke karan isnko apne pati ( husband) se kai baato ko sunna padta hai.

kai bar to dahej ke karan in mahilao ki hatya kar di jati hai. Aise kai mamle court mein hai jo ki insaf ki rah dekh rahe hai. Aaj is post mein lawyerguruji apko yah batane ja rahe ki dahej hatya kya hai aur yadi koi vyakti is dahej hatya ke is gambhir apradh mein doshi paya jata hai to use kya sja hogi.
bhartiya dand sanhita ki dhara 304B kya kahti hai? ( Dowry death Section 304B of The Indian Penal Code)

Bhartiya dand sanhita ki dhara (section) 304B mein dahej hatya (dowry death ) ke bare me bataya gya hai.

  1. Yadi kisi bhi mahila ki hatya burning ya physical harm ke karan se hoti hai,
  2. Yadi kisi bhi mahila ki hatya vivah ke 7 saal baad ho jaye.
  3. Unnatural reason se kisi mahila ki hatya ho jana.
  4. Yadi kisi mahila ko uske pati dwara dahej ko lekar torture kiya jata hai, aur aise mein vah khudkusi  kar leti hai.
  5. Pati ya uske parivar walo aur ristedaro ke dwara us mahila ko torture karne ke reason se us mahila ne in sab se paresan hokar khudkusi kar li ho.
dahej ki baat ko lekar kisi bhi prakar ka torture jissay us mahila ki hatya ho jaye ya hatya kar di jaye to usaay dahej hatya kha jayega.
Dahej hatya je mamle kanoon yah mankar chalta hai ki hatya hone ka main reason saural walo ka torture hi hai.

Dahej hatya par doshi paye jane par kya sja hai.
 Yadi koi bhi vyakti dahej hatya ka doshi paya jata hai to aise mein us vyakti ko 7 saal tak ki jail ki sja ho sakti hai.
Yah jail ki sja life time bhi ho sakti hai.

Yah ek cognizable offence jisme yadi police ko aisi suchna milti hai ki kisi mahila ki hatya ke piche reason dahej (dowry) hai to aise mein police us vyakti bina warrant ke arrest kar sakti hai jisme police ko pahle magistrate ki permission bhi nahi leni hoti hai.

Dahej hatya ek Non- bailable offence hai jisme bail milna bhi mushkil hoti hai.

2 comments:

  1. 304b mein arrest kitne dino mein hoti hai

    ReplyDelete
  2. เคช्เคฐเคฅเคฎ เคธूเคšเคจा เคฐिเคชोเคฐ्เคŸ เคฆเคฐ्เคœ เคนोเคจे เค•े เคฌाเคฆ เคคुเคฐंเคค เค—िเคฐเคซ़्เคคाเคฐी เคนो เคธเค•เคคी เคนैं।

    ReplyDelete

lawyer guruji เคฌ्เคฒॉเค— เคฎें เค†เคจे เค•े เคฒिเค เค”เคฐ เคฏเคนाँ เคชเคฐ เคฆिเค เค—เค เคฒेเค– เค•ो เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค เค†เคชเค•ो เคฌเคนुเคค เคฌเคนुเคค เคงเคจ्เคฏเคตाเคฆ, เคฏเคฆि เค†เคชเค•े เคฎเคจ เค•िเคธी เคญी เคช्เคฐเค•ाเคฐ เค‰เคšिเคค เคธเคตाเคฒ เคนै เคœिเคธเค•ा เค†เคช เคœเคตाเคฌ เคœाเคจเคจा เคšाเคน เคฐเคนे เคนै, เคคो เคฏเคน เค†เคช เค•เคฎेंเคŸ เคฌॉเค•्เคธ เคฎें เคฒिเค– เค•เคฐ เคชूเค› เคธเค•เคคे เคนै।

เคจोเคŸ:- เคฒिंเค•, เคฏूเค†เคฐเคเคฒ เค”เคฐ เค†เคฆि เคธाเคा เค•เคฐเคจे เค•े เคฒिเค เคนी เคŸिเคช्เคชเคฃी เคจ เค•เคฐें।

Powered by Blogger.