lawyerguruji

Bhartiya dand Sanhita ki Dhara 308 kya kahti hai? Section 308 of the Indian Penal Code

www.lawyerguruji.com

kya hai Bhartiya Dand Sanhita ki dhara 308 ? ( What is Section 308 of the Indian Penal Code ?)
Bhartiya Dand Sanhita ( Indian Penal Code) ki dhara 308 ke antargat yah pravdhan kiya gya hai ki yadi koi bhi vykti bina hatya ke udeshya se aisa karya karne ka pryas karta hai us karya se kisi bhi vyakti ki htya ka hona sambhav ho par us vyakti ka hatya karne ka irada nahi tha fir bhi uske dwara kiye gaye karya se hatya ho jati hai, to aise mein dhara 308 ke antargat us vyakti ke khilaf case darj ho sakta hai. Yah dhara 308 cognizable offence ke sambandh mein lagai jati hai aur is dhara ke antargat bail bhi nahi ho sakti kyoki hatya ek gambhir apradh hai jo ki Non bailable offence hai.

Kisi vyakti ke khilaf dhara 308 ke antargat kab case darj ho skta hai ?

Koi bhi aisa karya ya prayas jisse bina kisi irade ke kisi vyakti ki hatya jese apradh ho jata hai. Aise hone wali hatya ke apradh ke mamle mein dhara 308 ke antargat us vyakti par case darj ho sakta hai.
 Hum kuch example ke jariye se is dhara ko badi asani se samaj sakte hai-
  1. Aaj kal kai shadiyo aur utsav mein harsh firing ka bahut chalan hai jisko bhi dekho vah party ho ya shadi vha bandook, pistal se firng karta hai apni khusi jatan ke liye par aise mein hi yadi yah goli vahan kisi moujood vyakti ko lag jati hai aur us vyakti hatya ho jati hai par goli chalane wale vyakti ka koi irada nahi tha vaha kisi vyakti ko marne ka fir bhi usne hatya jesa gambhir apradh kiya hai to aise mein us vyakti ke khilaf dhara 308 ke antargat case darj ho sakta hai.
  2. Yadi kisi vyakti par bandook tan dena aur na ki us vyakti ko marne ke irade se ussi samay achanak goli chal jati aur us vyakti ki hatya ho jati hai, to aise mein dhara 308 ke antargat case darj ho sakta hai.
  3. Jhagde jese mamlo mein bina irade ke kisi vyakti ki hatya ho jane par hatya jese  gambhir mamle mein dhara 308 ke antargat us vyakti par case darj ho sakta hai.
1.Haal hi mein ek news ayi thi dosto sabhi news channel's mein aap sabhi logo ne dekhi ho ki ek Step-mother ne 5 saal ki nanhi si bacchi ko bori ke under dal kar bahut buri tarah se pita tha jisse bachi ki halat bahut gambhir ho gyi thi.
Is mamle ki suchna police ko milne par is suchna ke adhar par First Information Report likhi gayi. jisme police ne us step mother ke khilaf section 75 justice juvenile Act, 323, section 308 ke antargat mamla darj kiya tha.
Us mahila ne apni bail ke liye arji di thi jaha par court dwara uske bail ki arji ko kharij kar diya gya tha. Judge ne is mamle ke antargat yah kaha ki yah mamla jada gambhir hai jiske anusar aropi mahila ko bail nahi di ja sakti.


No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.