lawyerguruji

Women's day Special - 2018 Mahilao ko mile ye adhikar. (Women's Rights)

www.lawyerguruji.com

Hello Friend's,
Aaj is post mein aap sabhi ko women's day par mahilao ke adhikar ke bare mein batane ja rahu, jo ki hamare bhartriya Sanvidhan (Indian constitution) ke dwara har mahilao ko diye gaye hai unki suraksha aur unke maan samman ko koi nuksan na pahucha sake. Constitution ke alawa Indian law mein kai aise kanoon hai, jo ki mahilao ki suraksha ke liye bane hai, Domestic violence  Act 2005 aya jismen mahilao ko domestic violence se suraksha pradan ki gyi.

Aap sabhi ko aaj ka din 8 march 2018 to yad hi hoga kyoki yah aaj ka din mahilao ke liye khas hai, kyoki aaj Women's Day hai. Yah pure world men manaya ja rha hai vo bhi harso ullas ke sath.

Aaj ke is jamane mein mahilaye(women) bhi purusho (male) ke sath kandho se kandha mila kar kaam kar rahi hai, kai jagaho mein to mahilao ne purusho ko bhi pichad diya hai.

Women's day  Special - 2018  Mahilao ko mile ye adhikar. (Women's Rights)

Hum aapko kuch mahilao ke naam ko batane ja rahe hai jinhone bharat desh ko gauravaanit (proud) kiya aur samaaj ko yah sandesh diya kki mahilaye ghar ki chaar- diwari men kaid gudiya nahi hai.

1.Navjot kaur jo ki ek pahlwan (wrestler) hai, inhone Kyrgyzstan mein chal rahi senior aisa wrestling championship men 65 kg varg mein gold medal jeet kar sath hi ye aisa mein gold medal jitne wali pahli Indian wrestler ban gti hai.

2. Manu bhakar jo ki ek shooter hai, jinhone mexico mein chal rahe shooting world cup mein gold medal jeet kar bharat desh ka naam roshan kiya hai. Manu hariyana ki rahne wali aur 11th ki student hai. Shooting mien gold medal jitne ke baad Manu ab desh ki sabse yuva nishane-baj ban gyi hai.
Manu ne pahli bar mahila varg ki 10 meter air pistol mein pahla gold jeeta aur ab Prakash mitharwal ke sath milkar mixed event mein gold jeeta hai.

3. Avani Chaturvedi jo ki pahli Indian Air force ki flying officer hai hai jinhone 19 febuary ko Fighter jet (MiG-21 bison) ko akele uda (fly) kar bharat desh ka naam ucha kiya hai. avani ne gujrat ke jamnagar airbase se udhan bahri aur safalta purvak apna mission pura kiya.

.Ab hum baat karenge Mahilao ke Adhikar ke bare mein.

Women's Right's

Indian Constitution ne mahilao ko kcuh adhikar diye hai. jinke bare mein har ek mahila ko malum hona chahiye. Sanvidhan ke dwara diye gaye in adhikaro ke bare mein jannne ke baad mahilaye apne adhikaro ke prati jagrook ho jayengi.

1. Samaan vetan ka adhikar ( Equal salary).-Indian Constitution ke article 14 ke anusar right to equality ka pravdhan kiya gya hai. Equal remuneration Act ke anusar agr hum baat kare vetan ki to, ling ke aadhaar par mahilao aur purusho ke sath koi bhi bhed-=bhav nahi kiya jayega, kyoki aaj ke is samaj mein mahilaye bhi purusho ke sath kandhe se kandha milakar kaam kar rhi hai,to aise mien mahilao ko bhi purusho ke samaam vetan pane ka adhikar hai.

2.Kaam ke time Utpidhan ke khilaf adhikar. Aaj ke is samaj mein mahilaye aur purush ek sath ek hi office mein kaam kar rahe hai, aise mein yadi kisi mahila karmchari ke sath koi ched khad hoti hai ya mahila ke sath kisi bhi prakar ka yun utpidan hota hai, to ve iske khialf Police shikayat kar sakti hai. Yah Adhikar in mahilao ko Indian Constitution ke dwara diya gya hai.

3. Naam na chapne ka adhikar. ( Right to non-publication of name).- Yadi koi mahila sexual harassment ka shikar hoti hai, to aise mein us mahila ka name na chapne ka adhikar us mahila ko diya gya hai. Wah mahila apni gpniyata ki raksha karne ke yun utpidan ke khilaf shikayat mahila police karmchari se kar sakti hai ya Jila adhikari ( magistrate) ke samne apni shikayat aur statement de sakti hai.

4.Gharelu Hinsa ke khilaf adhikar ( Right to Domestic violence).-  Domestic Violence Act 2005 mein paas kiya gya mahilao ko gharelu hinsa se suraksha pradan karne ke liye. Yah adhiniyam mukhya roop se Husband, live in relationship, ya relative dwara ek wife ko yadi pareshan kiya jaata hai ya mara  jaata hai ya hinssa ki jati hai, to aise mein ye mahilaye iski shikayat police station mein kar sakti hai. Ismein koi bhi mahila chahe wah Maa, bahen ya biwi ho yadi inpar kisi bhi prakar ka koi bhi ghar ki chaar diwari ke bhitar koi bhi hinssa ki jaati hai, to aise mein yah apni suraksha ke liye police station mein shikayat kar sakti hai.,

5. Right to maternity benefit.- Maternity benefit adhikar ke anusar kisi bhi sanstha ( organisation, firm, company and factory) mein kaam kar rahi mahila karmchari ko unke pregnancy ke time kuch benefit diye jayenge ye in mahilao ka adhikar hai. Pregnancy ke pahle aur baad mein unko awkas (leave) di jayegi. Kisi bhi mahila karmchari jo ki pregnant hai usko job se nahi nikala ja sakta. Yadi company, firm ya factory ka niyojak ( Employer) kisi pregnant mahila karmchari ko job se nikalta hai, to aise mein uske khilaf uchit kary-vahi ho sakti hai, ya usay sja bhi ho sakti hai.

6.Kanya bhoorn hatya ke khilaf adhikar (Right against female feticide).- Kanya bhoorn hatya ke khilaf yah adhikar un mahila ko diya gya hai jinke parivar wale us mahila ke garbh (womb) ke janch karva kar yah malum karte hai ki paida hone wala baccha ladka hai ya ladki. Yadi ladka hai to usko janm dene ke liye kahte hai aur yadi ladki hai to usko garbh ke bhitar hi mar dene ko kahte. Aise sangeen apradh ke mamle wah mahila un logo ke khilaf police mein shikayat kar sakti hai, jo uske bacche ko khas-kar female baby ko garbh ke bhitar hi mar dene ko kahte hai.
Ya janm dene ke baad us female baby ki hatya kar dete hai, un logo ke khilaf bhi wah mahila shikayat kar sakti hai.

7.Muft kanooni madad ka adhikar ( Right to free legal aid).- Mahilao ko muft kanooni salah prapt karne ka bhi adhikar diya gya hai. Yadi unhe kisi mamle ke antargat kanooni salah leni hai to ve prapt kar sakti hai. Rape ki shikar hui mahila ko muft mein kanooni madad prapt karne ka pura adhikar hai. Station House Officer (S.H.O) ke liye yah jaruri hai ki wah Legal Service Authority ko Advocate ka arrangement karne ke liye inform kare.

8. Raat mein Girftar na hone ka adhikar. ( Right to not arrest in night).-  Criminal Procedure Act ,1973 ke section 46 ke anusar mhailao ko yah adhikar diya gya hai ki kisi bhi mahila apradhi ko police Evening ke time 6 baje ke baad giraftar nahi kar sakta aur Morning ke time 6 baje se pahle giraftar nahi kar sakti. Yadi giraftari  bahut jaruri  hai, to aise mein magistrate pahle anumati leni hogi aur giraftari ke mahila police karmchari ka hona jaruri hai.

9.Sampatti par adhikar. ( Right to Property).- The Hindu Succession Act ke anusar mahilao ko bhi property mein adhikar diya gya hai. New rules ke anusar pustaini property par mahila aur purush ka ek samaan adhikar hai.'

10. Garima aur shalenta ke liye adhikar. (Right to dignity and decency).-  Yadi koi mahila kisi apradh ke mamle mein giraftar ki jaati hai, to aise ,mein giraftari mahila police karmchari ke dwara hi kiya jayega. Giraftari ke baad yadi kisi bhi prakar ki medical checking hoti hai, to aise mein wah medical checking kisi mahila doctor ke dwara hi ki jayegi.Aur yah sari prakriya ek mahila ke presence mein hi ki jayegi.

No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.