lawyerguruji

Bharat mein mukhya 5 Sarkari shiksha yojanaye-Top 5 government education scheme in India

www.lawyerguruji.com

Hello friends,
Aaj is post mein aap sabhi ko "Government ki Top 5 Education Scheme ke bare mein batane ja raha hu. Jo ki education ko badhawa dene ke liye Indian Government ke dwara lagu ki jaati hai, taki samaaj ka har ek baccha (Child)educated ho jaye. Education ko hamare samaaj mein bahut importance di jaati hai, jitna log educated vyakti ke sath rahna, bolna aur ghumna pasand karte hai, utna uneducated ke sath log rahna, ghumna, bolna , friendship karna pasand nahi karte.
  1. Ek educated vyakti apni baat ko kisi dusre vyakti ke samne acchi tarah se rakh sakta hai, aur wah dusra vyaktyi uski baat ko dhyan se bhi sunega.
  2. EK Educated Vyakti apne jivika ko chalane ke liye vyapaar bhi kar sakta hai.
  3. Ek educated vyakti apna bura-bhala acchi tarah se janta hai.
 Bharat mein mukhya 5 Sarkari Shiksha Yojanaye. (Top 5 Government Education Scheme in India.

TOP 5 Government Education Scheme In India.
Government Education Scheme un baccho ke liye laati hai, jo ki kisi kaarn vash school nahi jaa pate hai. yah kaarn ho sakta hai, ki unke maata pita berojgar hai, ya unke pass itna paisa nahi hai, ki wah apne baccho ko school mein padhne ke liye bhej sake.

Chaliye, ab hum baat karte hai Education Scheme ke bare mein.

1. Sarva Shiksha Abhiyan -  Yah Government ki eudcation scheme ek National flagship program hai aur is Sarva Shiksha Abhiyan ko desh ke sabhi jile ( District) mein lagu kiya gya hai aur lagu kiya ja raha hai. Is abhiyan ki shuruwat 2001 mein ki gyi thi, aur is abhiyan ka main aim yah ki 2010 tak 6 se 14 saal tak ke sabhi age ke baccho ke liye upyogi aur relevant elementary education pradan karna hai. 50,000 students se adhik students ne 399 centers jo ki kai jile mein khule huye hai yaha par study ki hai.

2. Shiksha Sahayog Yojana - Yah Government ki education scheme ke antargat un baccho ko scholarships provide karti hai, jinke parents garibi rekha ke niche jee rahe hai ya Janashree Bima Yojna ke antargat ate hai. Aise parivar mein rah rahi gareeb ladkiyo ko government ki taraf se Scholarships provide ki jaati hai, taki ye ladkiya apni study ko pura kar sake. Yah scholarship in ladkiyo ko is liye di jaati hai kyoki in ladkiyo ke parents ke  paas itna paisa nahi hota hai, ki apni ladkiyo ko padha sake, is scholarship se in ladiyo ki padhai mein help ho jaati hai, aur parents par ladkiyo ko padhane ka burden bhi khtm ho jata hai.

3. Saakshar  Bharat - Is Government ki Education scheme ka main aim  education ka adult mein badhaava dena hai, taki saamaj ka har ek vyakti wa chahe Mahila ho ya Purush sabhi educated ho sake. Is  Yojana ke antargat visesh roop se Mahilao mein shiksha ko badhaava dena hai. taki saamaj ki har ek mahila shikshit ho jaye. Is yojana ko lagu karne ke, yojana ke antargat aane wale hae ek jile ke Panchayat gram mein 1.70 lac lok shiksha kendra ( Adult education Center) khole gaye hai. Various regions ke Lok Shiksha Kendra mein sampark kar ke is yojana ka labh uthaya ja sakta hai.

4. kasturba Gandhi Balika Vidyalaya Yojana -Yah Government ki education scheme visesh roop (specially) se ladkiyo ( Girls) ki siksha ko badhaava dene ke liye chalai gyi hai, taki saamaj ki har ek ladki ko uska yah siksha ka adhikar mile, is siksha ke adhikar se koi bhi ladki vachit na rah jaye. Yah ek Scool jiska name "Kasturba Gandhi Balika Vidyalaya"3500 branches hai, jisme 3.6 lac girls padh rahi hai. In schools mein class 5th se class 8th tak padh rahi ladkiyo ke liye hostel ki facility bhi pradan ki gyi hai.

5.Kanya Saaksharta Protsahan Yojana -  Is Government ki education scheme ka main aim drop out rate ko kam karna aur apni padhai ko jaari rakhne ke liye tribal girls ke education interest ko badhaava dena hai.taki ye tribal girls apni padhai (study) ko jaari rakh sake.  Rs- 500 un ladkiyo ko diya jata hai, jo apni padhai class 6th tak jaari rakhti hai, Rs- 1000 un ladkiyo ko diya jata hai, taki IX mein admission le sake, Rs-2500 in ladkiyo ko diya jata hai taki ye ladkiya XI mein admission le sake.

Ye sabhi TOP 5 Government ki education scheme vastav mein bahut acchi tarah se apna kaam kar rahi hai, aur bahut si balikaye in scheme ka laabh utha rahi hai.

Meri aapse ek yahi request hai, ki aap is scheme ke bare mein jada se jadatar logo tak share kare, khas-kar is scheme ke bare mein un logo ko jarur bataye jinko in scheme ki bahut jarurat hai, jaise Maid, Watchman, Peon, Milkman, etc in jaruratmand logo ko is scheme ke bare mein jarur bataye.


No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.