lawyerguruji

Gambhir mamlo mein raja mandi ke baad bhi mukadma chalu rahega-In serious criminal case the case will continue despite the consents

www.lawyerguruji.com

Hello friends,
Aaj is post mein aap sabhi ko yah batane ja rha hu yadi kisi gambhir apradh ke mamle mein parties mein apsi sahmati ho jati hai us apradh ko lekar to, sahmati ke baad bhi mukadma chalu rahega.

Gambhir mamlo mein rjamandi ke baad bhi mukadma chalu rahega. (In serious criminal cases, the case will continue despite the consents)
 Supreme Court ne sabhi state ke high court ko yah nirdesh diye hai ki, kyo na gambhir mamlo mein dono parties ke beech apsi sahmati ho jaye, lekin sunvai ke liye ve aise mukadmo jaari rakhenge. Chief justice of India Deepak mishra ki bench ne yah nirnay liya aur kaha ki gambhir apradh jaise Rape, murder, dacoity aur financial chori ke mamlo ko halke mein n hi liya jaye. Isme court ne yah ni kaha ki fariyadi aur aropi party court ke bahar apsi rjamandi karke mamlo ko khatm kar bhi lete hai, to fir bhi court ki karyvahi (proceeding) puri honi chahiye.  Kyoki ye aise gambhir mamle hote hai, jo ki samaj aur samaj ke logo par bahut bura asar dalte hai. In mamlo par nirnay dena bahut jaruri hai.

Court ne gambhir mamlo mein apsi rja mandi ke bawjood bhi karyavahi ko jarri rkhne ke liye isiliye jor diya ki, gambhir mamle jaise rape, murder, dacoity, financial apradh ye aise apradh hai yadi in apradho ke mamlo mein apsi sahmati ho jaati hai, to aise mein apradhi bina sja paye kanoon se bach kar nikal jata hai, jo desh ki arthik aur samajik dono prakar se desh ko bahut bda nuksaan pahuchata hai.

Yah bat court ne kyo kha ki gambhir mamlo mein bhi rjamandi ke bawjood bhi court apni karyvahi puri rakhega.Iske liye hum aapko batane ja rahe hai court mien aye ek mukadme mein jaha kuch aisa hua.

Court ke samne ek case aya jisme ek jameen ka vivad tha aur aropiyo ke khilaf FIR likhwai gyi thi. Aropiyo ne apne khilaf darj hui FIR cancel karne ki mang ki. Unka kahna tha ki fariyadi party ne unse rja mandi kar li hai isiliye unhe rahat ( relief) diya jaye.
Is par court ne saaf yah kah diya ki chahe fariyadi party piche hatna chahti ho par court apni karyavahi puri karegi.

No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.