Hello friend's
Aaj is article mein aap sabhi ko Company Registration ke bare mein batane ja raha hu. Har vyakti apna business karna chaheta hai vo small capital business ho ya large capital business ho, business start karne se pahle aapko kai bato ka dhyan rakhna hota hai. Jo vyakti business karne ki shuruwat karte hai unko business se related kuch jada jankari nahi hoti hai jinke karn se unhey kai dikkato ka samna karna padta hai. aaj is post mein aap sabhi ko business se related or company ke registration tak ki puri jankari dene ja rha hu.
India ab ek startup companies ka bahut bda kendra ban gya hai. kai navyuvak mein apna khud ka business start karne ki sochte hai, inki help ke liye Indian government ne Start up India platform bhi launch kiya hai, jo ki naye business open karne walo ki step to step help karta hai.
India mein ek company ko kaise register karaye iske liye kai resource available hai, lekin ek company ke registreation ki prakriya (process) abhi bhi jatil hai. Prastavit (proposed) company ke nam ki availability se lekar usme lagne wale important document ko pura karne ke liye aur form ko bharne tak ek nya vyakti jo pahli bar kisi company ko open karne ki sochta hai vah aisa nahi kar skata kyoki usko itni jankari nahi hoti hai.
Yadi aap koi business karne ki yojna bna rahe hai ya existing proprietorship business ko kanooni roop se valid aur incorporated company ko upgrade karne ki soch rahe hai to yah article apke liye hi likha hai.
Yaha mein aap abhi ko yah batane ja rahu ki India mein ek Company ko register karvana hai to kya process hai. Agr aap log mere is artile ko last tak read karte hai to aapko company registration se related sari jankari milegi jo apko company ke registration karvane me help hogi.
Company ke prakar. (Type of company.)
- One person company.
- limited company.
- private limited company.
- Limited liability partnership
- Aapko partnership deed ki jarurat hoti hai jab aap company partnership mein start karte hai.
- Shop leni hoti hai aur Municipal committee ya Panchayat se establishment certificate bhi lena hota hai.
- Firm ke name par ek PAN card banvana hota hai.
- Other Registration jaise:- Service tax, Sale tax, jo ki aapke firm ke liye jaruri hai.
- Ek bank account bhi firm ke name se oprn karna hota hai.
Bharat mein Company ke panjiakrn ki prakriya kya hai? What is the Procedure to register Company in India?
Step 1.- Company ka name select karna. ( Selection of Company name).
Kisi bhi business ko start karne se pahle us company ka kya naam hoga yah sochna hota hai. Kyoki vah business ki ek pehchan hoti. Isi nam se har vyakti us company ko yad rakhta hai aur yahi pehchan hoti hai.Isi liye jaruri hai ki Company ka naam soch le kya hoga.
Kisi bhi company ka naam sochne se pahle hume in bato ko dhyan mein rakhna hota hai jaise:-
- Company ka name sabse alag ho jiska matlab yah hai ki usi naam ki koi aur company na ho.
- Company ka name aisa ho jo sabke samjh mein aye.
- Jada lamba name na ho ki log yad hi na rakh paye.
- Yadi ek name se company pahle bani hai to usi name ki company aap dubara nahi bna sakte hai.
Step 2.- Company ke naam ka panjikarn. (Registration of Company name.)
- Company ka name bharna hoga.
- Director aur Partner ke beech ka share ratio kitna hai.
- Share Capital.
Company ke registration ke liye kin document ki jarurat hoti hai. ( Important Document need for Registration of Company)
- Digital signature.
- DIN ( Director's Identification number)
- Address proof.
- Photo ID proof.
- Recent passport size photo.
- Driving licence.
- Adhar card.
- Electricity bill.
- Ration card.
- Voter ID.
- Latest Telephone bill.
3.- Digital Signature Certificate.
Digital Signature certificate ka istemal internet ke madhyam se online document dakhil karte time kiya jata hai.Yah digital signature ek handwriting signature ki tarah hi hota hai. Is digital signature mein extra data ko attached kiya jata hai.Yah ek important things hai jo ki agly step mein document jma karne ke liye aapko digital signature ki jarurat hoti hai.
4. Director Identification Number (DIN). Yah ek unique identification number hota hai jo ki director ke pass hota hai. Yah DIN apne ke liye aapko MCA ki official website par jakar wha aapko ek form bharna hoga. Eform DIR-3 yah form aapko website se download krna hoga aur ise bharna hoga. Isme Digital signautre karna hota hai aur is form ko bhar kar ise ab MCA portal par upload karna hota hai.
Is form ko upload karne ke baad apko iske anusar batai gyi fees pay karni hoti hai.
5. Company incorporation formalities.
India mein kisi bhi Private company aur Partnership company ko register karane se pahle aapko Digital signature certificate aur Director Identification number lena bahut jarurui hota hai.
Certification of Incorporation.
Incorporation ke certification ke liye aapko kuch document prepare kare hote hai aur unke verified aur stamped lag jane ke baad aap next step par ja sakte hai. Certification ki prakriya ko pura karne ke liye aapko is prakriya ki jarurat hogi.
Is Document mein shamil hai 100 rupees ka stamped paper vo bhi signed kiya hua sath mein Memorandum of association aur Rs 1000-4000 ke stamp paper ke sath Article of association, Form 32 ke antargat , company ke director ke consent letter ki copy, 100 rs ke judicial stamp paper ke sath power of attorney. yah sab Form 1 ke sath attached hona jaruri hai.
MOA or AOA.
Memorandum of association or Article of assassination yah ek document hai jo ki har company ke liye jaruri hota hai. Is document mein compnay ka name, address, Dirctor's ke name, paid-up capital aur director ke beech share ke distribution ki puri jankari likhi hui hoti hai. Company ke registration ke time yah document lagana hota hai.
Tax Account Number / Permanent Account Number.
Company ke name se PAN card ka banna jaruri hota hai, lekin TAN depends karta hai business ke nature par. Registered company ke liye aapko PAN TAN ke liye apply karna hota hai. IS formalities ko pura hone mien lagbhag week time lgta hai. PAN or TAN ke liye aapko usi ke anusar batai gyi fees payment karni hogi.
Iske alawa aapko VAT( Value Added Tax) ke liye rgistration karnvana hoga. Professional Tax, Company ke name par ek Rubber stamp,Shop leni hogi, establishment certificate ke liye Municipal Committee ya Pachayat mein apply karna hoga.
Ek bank account company ke name par open karna hota hai.
Public limited company ke mamle mien aap registration ke baad apni company start kar sakte hai.
Yah company ke registration ki puri prakriya hone mein lagbhag 4 week se 6 week tak ka time lag sakta hai.
Nice information , but we are India's best service provider of Ice cream cone Wholesale manufacturer - Laxmi Wafers N Cones
ReplyDeleteice cream cone wholesale distributor
ice cream cone
mini ice cream cone
sugar cone
cornetto cone
biscuit cone