lawyerguruji

Aa gaya nya kanoon ab 7 saal se kam sja wale apradh mein hogi giraftari

www.lawyerguruji.com
Hello friend's,
Aaj is post mein aap sabhi ko yah batane ja rha hu ki ab Saat(7) se kam sja wale apradh mein hogi goraftari. Kyoki kuch aise cognizable offence hai jinke hone par police kisi bhi doshi vyakti ki giraftar nahi kar sakkt thi par ab aisa nahi hoga yadi koi bhi vyakti aisa koi bhi cognizable offence karta hai jiski sja ka pravdhan saat(7) se kam ka hai ab police aise apradh ke hone par us vyakti ko giraftar bhi kar sakti hai.

Aa gya nya kanoon ab Saat(7) saal se kam sja wale apradh mein hogi giraftari.

Kya badlav hua hai ?
Bharat Sarkaar ke kanoon avm nyay mantralay nein kanoon mein bda badlav lakar police vibhag ke adhikaro ko aur bdha diye hai. Yah kanoon mein badlav yah hua hai, ki ab yadi koi bhi vyakti sat sal se kaam sja wale apradh karta hai, to ab police us vyakti ko giraftar kar sakti hai. Knoon avm nyay mantralay dwara yah kanooni badlav ab pure desh mein lagu hoga.
Abi tak yah kanoon tha ki police kewal saat saal ya sat saal se adhik wale apradh ke mamle mein hi police apradhi ko giraftar kar sakti thi. Aise mamle mamle police bina apradhi ko giraftar kiye hi court mein arop patr ( Charge-sheet) dakhil kar deti thi. Aise mein apradhi  pahle se hi apni jamant (bail) ka prabandh karva kar apni jamant (bail) kra lete thy.

Desh ki azadi ke baad se saal 2008 tak police saat saal se kam sja wale cognizable offence jo ki non bail abe offence hote hai in  sabhi apradho mein paye jane wale apradhiyo ko police giraftar kar leti thi, lekin kanoon mantralaya dwara ek adhi-soochna 2008 mein jari kar ke yah adhikar police se wapas le liya tha. Knoon mein is prakaar se badlav hone par police ke adhikaro mein kami hone lagi. Logo ke ander se giraftari ka dar khatm hone se cognizable offence jada hone lage thy. In sabhi apradho ko dekhte huye Bharat sarkaar ke kanoon avm nyay- mantralya ne nayi adhi-sochna jari kar kanoon mein nya sansodhan ( Amendment) kar police ke adhikaro mein fir badhat kar di hai.Yah adhi-soochna  abhi teen mahine se shuru ho gyi hai.

Kanoon avm nyay mantralya dwara is kanoon ko  fir se lane mein apradho mein kami ayegi.
CrPC ke section 11 ke antargat yadi koi vyakti saat sal se kam sja wale apradh karta tha to police us vyakti ko giraftar kar leti thi, iski vajah yah hoti  thi ki yadi police nein us vyakti ko yadi giraftar na kar le to yah dar hota tha ki vah apradhi shikayat-karta ya gavahi dene wale vyakti ya evidence ko mita na de. lekin 2008 ke baad se police se yah adhikar wapas le liye gye thy.

Yadi police saat saal se kam wale apradh mein kisi apradhi ko giraftar kar leti thi, to police ko court se daat milti thi , isi dar ke kaaran se police ne saat saal se kam sja wale apradh mein police nein apradhi ko giraftar karne hi band kar diya tha.
60% pratisat aise apradh hai, jinme saat saal se kam ki sja ka pravdhan hai.

Ye ve cognizable offence hai jinmein Police  apradhi ko giraftar nahi kar sakti thi.

  1. Rupya se bhara bag ki chori, mobile ki chori aur chain lootna Section 356, 379 Non bailable offence , 2-3 saal tak ki jail ki sja.
  2. Car or bike chori section 379 , non bailable offence, 3 saal ki jail ki sja.
  3. Ghar ya daftaro mein chori section 457,380 , non bailable offence, 3 saal ki jail ki sja.
  4. Ched-khani section 354 , non bailable offence, 5 saal ki sja.
  5. Nabalig (minor) se ched-khani (POSCO) , non bailable offence. 5 saal ki jail ki sja.
ye ve sabhi cognizable offence hai, jinme police kisi bhi apradhi ko giraftar nahi kar sakti thi, par jo nya kanoon pass hua hai, uske anusar ab 7 saal se kam ki sja wale apradh mein bhi giraftari hogi.


No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.