lawyerguruji

Kisi vyakti ki mrityu ke baad uski property kisko milegi -If a person dies then who will get his property

www.lawyerguruji.com

Bhartiya Uttradhikar (Hindu Succession Act 1956) kanoon ke anusar yadi kisi vyakti ne vasiyat (will) nahi ki hai,To us vyakti ki mrityu ke bad uski property kise milegi.
India mein Hindu, Muslims, sikh aur Isai ye char dharm ke log rahte hai, har dharm mein uttradhikar (Succession) ke liye alag-alag kanoon hai.
Kisi vyakti ki mrityu ke baad uski property kisko milegi.(If a person dies then who will get his property?)


Hindu Succession Act 1956, ke anusar yadi kisi hindu vyakti ki mrityu ho jati hai, Aur vah vyakti bina vasiyat banaye is duniya ko chodh kar chla jata hai. To aise mein us vyakti ki property kis- kis ko mil sakti hai iska pravdhan ishi adhinyam ke antargat kiya gya hai.
  1. Kisi hindu vyakti ki mrityu hone par uski property uski vidhwa stri ( widow women) , bacche ko (ladka or ladki), aur uski maa ( mother) ke beech brabar baatee jati hai.
  2. Yadi mritak ka koi putr tha aur mritak ki mrityu se pahle uske putr ki mrityu ho gayi thi, to aise mein mritak ke putr ki vidhwa (widow daughter in law) aur baccho ko property mein hissa milega.
  3. Supreme Court ne yah vidhi banai hai ki kisi hindu purush dwara apni patni ke jivit rahte kisi dusri mahila se vah vivah kar leta hai, To aise mein us dusri patni ko uttra-adhikar nahi milega, lekin uske baccho ka pahli patni ke baccho ki tarah hi pita ki property mein adhikar milega.
  4. Hindu mahila ki property uske baccho ladka ya ladki ho, aur uske pati ko milegi. Us mahila ki mrityu  ke pahle yadi uske bete ki mrityu ho jati hai to aise mein mritak bete ke baccho ko bhi brabar ka ek hissa milega.
  5. Agar kisi Hindu vyakti ke parivar ke najdiki member jivit nahi hai, To uski mrityu ke bad uski proprty pane wale uttra-adhikario ka nischit vargikaran hota hai.
Ek Hindu purush ki property ke uttra-adhikari uske nimn likhit ristydar ( Relative's) ho sakte hai.
  1. Putr (Son).
  2. Vidhwa ( Widow).
  3. Mritak putr ka putr.
  4. Mritak putr ki putri.
  5. Mritak putr ki beti ki beti .
  6. Mritak bete ki vidhwa.
  7. Mritak bete ke bete ka beta.
  8. Mritak bete ke bete ki vidhwa.
  9. Mritak bete ke mritak bete ki beti.
Muslimo me Uttra adhikar (Shiya -shunni) .
Muslimo me ( Shiya or Shinni)  ke liye alag alag niyam hote hai lekin nim likhit samanya niaym dono par hi lagu hotey hai .
Muslimo mein apne niji kanoon hote hai.

  1. Antim sanskar ke khareche aur udhar liye gaye rupye ke bhugtan ke bad bachee property ka kewal 1/3 wasiyat ke roop me giya ja sakta hai.
  2. Purush varis ko mahila varis se do guna  property mein hissa (share) milta hai.
  3. Vansh prampra mein jese Putr- Pota najdiki ristey putr kehone par dur ke ristey pote ko hisaa nahi milta hai.
Ishai dharm mein Uttradhikar kaun hota hai. ( Who is Succession in Christianity)

Bhartiya Ishaiyo ( Indian Christian ) mein uttradhikar se milne wali property ka nirdharan (determination) Succession law ke adhar par hota hai. Special hindu marriage law ke antargat marriage karne wale aur India mein rahne wale European, Anglo Indian aur yahudi bhi isi law ke antargat ate hai.
  1. Mritak vyakti ki vidhwa (widow) stri ko 1/3 hissa uski property mein milta hai baki 2/3 mritak ki sidhi vamsh parmpra ke uttradhikariyo ko miltli hai.
  2. Bete (Son) aur Betiyo (Daughter) ko property ka equal share milthai.
  3. Pita (Father) ki mrityu se yadi putr(son) ki mrityu ho jati hai ,to aise mein putr (son) ke bete ko property mein hissa milta hai.
  4. Yadi kewal vidhwa( widow) jivit ho , to usay property ,mein adha(half) hissa milta hai.aur adhi mritak ke pita (father) ko milti hai.
  5. Yaid Pita (father) jivit na ho to aise property mein hissa Maa (mother) , brother, aur sister's ko mil jata hai.
  6. Kisi mahila ki property ka bhi isi tarah se batwara hota hai.
Pariso mein Uttra adhikar ( Succession in Parsi's)
  1. Parsiyo mein purush ki property uski vidhva stri , baccho aut maata Pita *( Mother- Father)  ke beech mein bati jati hai.
  2. Ladke aur Vidhva ko ladki se doguna property mein hissa milta hai.
  3. Pita *( Father) ko potey ke hisse ka adha aut maata *( mother) ko poti ke hise ka adha milta hai.
  4. Kisi mahila ki property uske pati *( husband) aur baccho me equal share ki jati hai.
  5. Pati *(husband) ki property ke batware ke time usme patni ki niji property nahi jodi jati hai.
  6. Patni ko apni property par pura adhikar hai uski property mein uski Income, Private property, aur marriage ke time milne wale gift shamil hai.,
  7. Narriage ke time Dulhan (Bride) ko milne wale uphar *(Gift) aur Bhet Stridhan ke antargat atey hai.
  8. Supreme Court ne apne ek order mein yah clear kar diya hai ki HIndu Marriage law ki Dhara 27 ke antargat Stridhan pr pura adhikar Patni ka hota haiaur usay is adhikar se vanchit nahi kiya ja sakta hai.
Note: kisi Fund ya Bima Policy mein enroll ho jane ke baad enroll vyakti ke naam property transfer nahi hoti. Vah to kisi ki mrityu ke baad in Rakamo (Money) ka kewal Trustee hota hai.


1 comment:

  1. Kya hindu succession act me dhara 15 me ek nirvasiyat mahila ki sampati ya krishi bhumi me oske ek matra bahan ke ladke (bhanje)ko adhikar hai

    ReplyDelete

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.