lawyerguruji

Mahilao ko bhi milega property par adhikar-Women's will also get right on property

www.lawyerguruji.com

Mahilao ko bhi milega sampatti par adhikar ( Women's will also get right on property)


 Mahilao ke bhi milega sampatti par adhikar ( Women's  will aslo get right on property)

1.Pita ki sampati par hak .( Title to the Father's Property)
Bhartiy kanoon ke anusar mahilao ko apne pita aur pita ki pushtaini (Ancestor) property mein pura adhikar mila hua hai. Yadi ladki ke pita dwara khud banai hui sampatti hai aur is sampatti ke mamle me koi vasiyat (Will) nahi ki gyi hai tab ladki ke pita ke bad us property me ladki ko bhi utna hi hissa( Share) milega jitna ki ladke aur uski maa ko milta.
Jaha tak bat aati hai ki kya shadi ke bad bhi use apne pita ki sampatti me adhikar milga , to uttar yah hai ki ha shadi ke bad bhi ladki ko uske pita ki sampatti me milne wala adhikar kayam rahega.

2. Pati ki sampatti par hak. ( Title to the Husband's Property )
Pati ki sampatti par hak shadi ke bad us mahila ka malikana hak to nahi hota parantu pati ki haisiyat (status) ke hisab se us mahila ko gujara bhatta jarur diya jata hai. Mahilao ko yah adhikar hai ki uske bharan posan uske pati dwara ya pati ki haisiyat dwara kiya jana chahiye.
The Hindu Marriage Act 1955 ke anusar pati ya patni me kisi prakar ka shadi se sambandhit vivad utpann hota hai to ve pati se gujara bhatta mang sakti hai.

Criminal Procedure Code, The Hindu Marriage Act, Hindu Adoption And Maintenance Act and Domestic Violence Act ke anusar mahilao dwara apne pati se apne gujare bhatte ki maang kar sakti hai. Agr pati ne khud koi sampatti banai hai aur us sampatti ki will bhi banai hai to uske jivit na rhne par us sampatti par uski patni ka us vasiyat ke anusar adhikar hoga. lekin yah sampatti uske pati dwara khud hi banai gayi ho ya arjit ki gayi ho tabi wah vah us sampatti ki vasiyat kar sakta hai. Vah apne pita ki sampatti ki vasiyat  apne patni ke paksh me nahi kar sakta hai.
Yadi pati dwara koi vasiyat nahi banai hui hai to uske jivit na rahne par pati dwara khud arjit ki gyi sampatti par uski patni ko hissa milta hai. lekin paitrik sampatti me vah diwani nyayalaya me dawa dayar nahi kar sakti.

Yadi pati aur patni ke bich kisi bat ko lekar koi vivad ho jata hai to vah pati se gujara bahtte ki mang kar sakti hai.
  1. Criminal Procedure Code ki dhara 125 ke anusar patni apne aur apne bacche ke gujare aur uske baharn posan ke liye apne pati se gujare bhatte ki mang kar sakti hai. Iske liye use ek arji dakhil karni hogi.
  2. Hindu adoption and Maintenance Act ki dhara 18 ke antargat mahila gujare bhatte ke liye nyayalya me arji dakhil kar sakti hai.
  3. Domestic Violence ke antargat bhi mahilaye apne pati se gujare bahtte ki mang kar sakti hai.
  4. The Hindu Marriage Act 1955, Yadi pati aur patni ke bich talaq ka case chal raha hia to vah is adhiniyam ki dhara 24 ke antargat apne pati se gujara bhatte ki mang kar sakti hai.
  5. Talaq ho jane ke bad court dwara jo muvavje ki rashi ty ki jati hai vah  pati ki salary aur uske dwara arjit ki gayi sampatti ke adhar par hi  sunishchit ki jati hai .

No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.