lawyerguruji

Ajamanatiya apradh ki dasha mein jamanat kab milti hai ?-When we get bail in case of Non-bailable offence?

www.lawyerguruji.com

Criminal Procedure Code ke Section 437 mein yah pravdhan diya gya hai ki Ajamanatiya apradh ki dasha mein jamanat kab milti hai ? ( When does bail get in the state of Non-bailable offence ?)

Ajamanatiya apradh ki dasha mein jamanat kab milti hai ? ( When we get bail in case of Non-bailable offence?)


1. Yadi kisi vyakti jispar ajamanatiya apradh ka abhiyog hai ya uspar yah sandeh hai ju usne ajamanatiya apradh kiya hai. Cognizable offence aise ofence hote hai jinhe hum ajamanatiya apradh (Non-bailable offence) kahte ha.Yadi koi bhi vyakti cognizable offence jese apradh karta hai aur us apradh ki khabar kisi police station ke bhar sadhak (Police In-charge) ko milti hai, To aise mein us police station ka bhar sadhak us apradhi ko bina warrant ke aur bina magistrate ki permission ke us vyakti ko giraftar kar sakti hai aur apni custody mein le sakti hai. Ya Supreme Court athwa Session Court se different court ke samne pesh kar sakti hai, Ya us apradhi ko court mein laya jata hai tab vah jamanat (bail) use riha kiya jata hai, lekin

(i)- Yadi yah vishwas karne ke liye uchit adhar hota hai ki aisa vyakti mrityu ya ajivan karavas se dandniya apradh se doshi hai, to aise mein vah bail dwara  riha nahi kiya ja sakta.

(ii)- Yadi aisa apradh koi cognizacle offence hai aur aisa vyakti mrityu, ajivan karavas ya 7 saal ya 7 saal se adhik ke karavas se dandniya kisi apradh ke liye pahle se dosh sidh hai , ya vah 3 saal ya 3 saal se adhik ke, lekin 7saal se adhik ki avadhi ke kravas se dandniya cognizable offence ke liye 2 ya 2 se adhik avsar par pahle se dosh sidh kiya gya hai, To vah bail par riha nahi kiya jaeyga.

Parntu,  Court yah order de sakega ki clause (i) aur (ii) mein bataye gaye vyakti ko bail par riha kiya jaye yadi aisa vyakti ,
  1. 16 saal se kam ki age ka hai.
  2. Koi women hai.
  3. loose vyakti ko.
Lekin, Court yah bhi order de sakega ki clause (ii) me bataye gaye vyakti bail par riha kiyr jayenge, yadi uska yah smadhan ho jata hai ki kisi other special reason se aisa karna sahi ya thik hai.

Abhiyukt (Accused) ki jaurat, investigation ke time witness dwara identify kiye jane ke ho sakti, jamanat manjoor karne se inkar karne ke liye sufficient reason nahi hoga, Yadi vah anytha jamanat par riha kiye jane ka hakdar hai aur vah aisa vachan (Promise) deta hai ki court dwara diye gaye order ka palan karega.

Lekin, kisi bhi vyakti ko, yadi uske swara kiya gya apradh mrityu dand ya ajivan karavas ya 7 saal ya 7 saal se adhik karavas se dandniy hia to lok abhiyojak ko sunvai ka koi bhi avsar diye bina in adhar ke adheen court dwara jamanat par riha nahi kiya jayega.

No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.