lawyerguruji

Jane 10 steps mein duplicate RC kaise banvaye-How to apply for duplicate vehicle registration certificate in case of theft or missing

www.lawyerguruji.com

Hello, Friends aaj is post mein aap sabhi ko yah batane ja raha hu ki yadi aapki car or bike RC
(vehicle registration certificate) chori ho jati hai ya kho jati hai to aisme mein hume sabse pahle kya karna hota hai aur new RC ke liye kaise apply kare. IS post mein aapko Online Duplicate RC ke liye kaise apply kare yah batane ja rhe hai. kyoki aaj kal is technology ke jamane mein har kaam online hi ho rha hai. jaise:
Duplicate RC kaise banvaye. ( How to apply for duplicate vehicle registration certificate in case of theft or missing)

  1. College, school mein admission's.
  2. Banking 
  3. Insurance
  4. Marketing 
  5. Shoping etc.
kyoki yah time saving hai aur money saving bhi hai.  Online RC banvane mien aapko RTO office mein bhi nahi jana hota form bharne ke liye. Aapko ghr mein baithe hi apne computer se RTO ki website open karke form fillup karna hota hai ,
Aaj hu, aapko is post mein yahi batane ja rhe hai ki kaise form fill kare.

Bike or car ki RC ( vehicle registration certificate ke chori ya kho jane par sabse pahle kya kare ?

Aksar kya hota hai ki humari bike aur car ki RC kho jati hai ya to fir chori ho jati hai, To aise mein hume sabse pahle apne area ke police station mein First Information report darj karwani hoti hai jisme hume car aur bike ki RC ke chori ho jane ki information deni hoti hai. yah isiliye jaruri hota hai ki jab hum duplicate RC ke liye apply karte hai to FIR copy ki ya FIR number ki jarurat hoti hai.

Car or Bike ki dupplicate RC ke liye kaise apply kare ?
Duplicate RC ke liye kaise apply kare iske liye hum apko kuch simple steps batyenge jo bahut asan hai. Koi bhi ghar baithe apni car bike ki duplicate RC ke liye apply kar sakta hai.

Step.1. Duplicate RC application form fill-up karne le liye aapko sabse aphle Indian government ki official website https://parivahan.gov.in  par jana hoga  jaise hi website open hogi vese hi yah page open hoga.
Step 2.  Upar di gyi image mein apko vehicle registration related service par click karna hoga. is par click karte hi ek new window open hogi.

Step 3. New window open hone par aapko screen par Vehicle registration Number fill karne ke liye samne dikhai dega. Vahan aapko apna valid vehicle registration number dalna hoga fir proceed button par click karna hoga.

Step 4.  Registration number dalne ke baad ek new window open hogi jo aisi dikhai degi.jisme aapko online service ke niche diye huye option par click karna hoga jisme aapko Duplicate RC, Vehicle Transfer, Address change jaisi suvidhaye milengi.

Step 5. Ab aap dekhenge MISC karke kuch likha hua dikhai dega us par aapko click karna hai, fir ek new window open hogi.

Ab aapko yaha apne vehicle ke chassis number ki last 5 digit dalni hogi aur apna vah mobile number dalna hoga jo aapne RC banvane ke time dala tha. Chassis no. aur mobile no. dalne ke baad apke pass ek code ayega us code kop aapko jahan OTP enter karne ko kaha ja rha hai vaha dalna hai aur click button par click krna hoga.

Step 6. Show detail par click karne ke baad apnke samne ek page open hoga jisme aapke vehicle ki full information di hui hogi. ab aapko sabse upar diye huye option mein se Duplicate RC par tick karna hoga.

Step 7. Ab apko thoda sa page ko niche lana hai scroll karke ab Duplicate RC ke niche aapk o pana reason select karna hoga jiksa matlab yah ki aap kis reason se duplicate RC lena chah rahe hai,
1.kya aapki RC chori ho gayi hai.
2.RC miss ho gyi hai.
Isme diye gaye option's mein se apko apna reason select karna hai.

Step 8.  Ab aapko FIR no., FIR date, aur Police station ka name bharna hoga.

Step 9. FIR no. ,FIR date, Police station ka name yah sab bharne ke baad ab aapko Duplicate RC ki fees dikhai degi.
 yaha se aap online car or bike ki duplicate RC ke liye fees bahr sakte hai.

Step 10.  Jab aap fees bahr denge to kuch form show honge unhe aapko print karva lena hoga aur un par apne signatur karne honge, isnke sath apko apne basic document ki copy bhi lagani hogi aur aapko RTO office jana hoga aur ye sabhi document jma karna hoga.

5 -7 dino ke under aapko car ya bike jiski Duplicate RC ke liye apne apply kiya hoga vah aapke dwara diye gaye address par post dwara ajyegi.




No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.