lawyerguruji

Janwaro se sambandhit kanoon (Law related to animal's)

www.lawyerguruji.com

Hello friend's ,
Aaj is post meim aapko sabhi ko yah batane ja rha hu ki yahi aap kisi bhi pashu (animal's) ke sath kisi bhi prakar ka koi bhi atyachar karte hai, to aise mein aapko sja ke sath sath jurmana bhi dena pad sakta hai. Aaj hum baat karenge Pashu ke protection ke liye bane un kanoon ke bare mein jinke bare mein hum sabhi ko malum hona chahiye.

Janwaro se sambandhit kanoon. (Law related to animal's)
  1. Indian Constitution ke article 51(A) ke anusar har nagrik ka yah kartavya (duty) hai ki vah har jivit prani ke prati shanubhooti rakhna har nagrik ka mool kartavya hai.
  2. Meat ko lekar yah nirdesh hai ki koi bhi pashu ( murgi samet) kewal slaughter house jha pashu kate jate hai vhi kate jayenge, bimar aur pregnant animal's ko nahi mara jayega unke meat ke liye. Prevention of cruelty and animals act and food safety regulation mein yah baat clear kahi gyi hai.
  3. Indian Penal Code ke Section 428 aur 429 ke antargat kisi pashiu ko marna aur apang karna bhale hi vah pashu awara hi kyo na ho agr aisa koi karta hua paya jata hai, to aisa karna apradh hai jo ki sja ke layak hai.
  4. Prevention of cruelty and animals act 1960 ke anusar kisi pashu ko awara chodhna bhi apradh hai, yadi aisa karta koi paya jata hai, to aise mein 3 month ki sja ho sakti hai.
  5. Wild life act ke antargat bandar (monkey) ko kanooni suraksha di gyi hai, kanoon yah kahta hai ki bandar (monkey) ka show dikhana aur unko kaid mein rakhna yah sab illegal hai.
  6. Anti birth control 2001 dog's rule ke anuar dog ko do category mein divide kiya gya hai ek paltu aur dusra awara. yadi koi vyakti ya local animal welfare ke shayog se awara dog ka birth control operation kar sakti hai, unko marna illegal hai.
  7. Pashu ki dekhbhal karna se yah matlab hai ki sharan, bhojan, pani dene e inkar karn aur lambe time tak bandhe rakhna ek dandniya apradh hai, yadi koi bhi vyakti aisa karta paya jata hai, to aise mein 3 mahine ki jail ki sja aur ya jurmane ki sja ho sakti hai ya in dono prakar ki sja ho sakti hai.
  8. Pashu ko ladana.(Animal's fight) ya unko ladane ke liye bhadkana ya ladai ka ayojan karvana ya usme hissa lena bhi ek cognizable offence.
  9. Animal testing.- Drugs or cosmetic rules 1945 ke anusar janwaro pae cosmetic ka experiment karna aur janwaro par kisi prakar ka chemical test karna ya test kiye ja chuke cosmetic material ka export- import karna bhi mna hai.
  10. Bali par ban -Slaughterhouse rule 2001 ke anusar desh ki kisi bhi hisse mein pashu ki bali dena illegal hai. 
  11. Rule for Zoo- Zoo ya uske parisar mein kisi bhi janwar ko pareshan karna, usay tang karna ya koi bhi aisa karya karna jisse vah bhadke ya waha ke janearo ko zoo mein ane wale logo dwara khana dena bhi illegal hai. Yadi koi bhi aisa karta hua paya jata hai to aise mein Prevention of cruelty and animal's act ke anusar 3 saal ki jail ki sja ya 25,000 rs ka jurmana bhi dena hopad sakta hai ya in dono prakar ki sja ho sakti hai.
  12. Pashu ko asuvidha mein rakhkar ya dard  pahuchakar ya pareshan karte hue kisi ek jagah se dusre jagah le jana motor vehicle act aur Prevention of cruelty and animal act ke nausar yah apradh hai .
  13. Protection of cruelty and animal act kesection 22(2) anusar kisi bhi janwar, bhaalu, bandar, bail, sher tenduwa ko manoranjan ke liye train karna aur istemaal karna illegal hai.
  14. Nest protection- Bird's ya reptiles ke eggs ko waste karna ya unse ched chad karna ya fir jin plant mein in bird's ne egg diye hai unko katna ya katne ki kosis karna shikar kha jayega jo ki illegal hai. Yadi koi bhi aisa karta paya jata hai ya aise apradh ka doshi paya jata hai, to 7 saal ki jail ki sja ya 25,000 rs ka jurmana ya in dono se ho sakta hai.
  15. Wild animal's ko kaid karna- Kisi bhi jangali janwaro ko pakdna, fasana, jaher dena ya lalach dena yah sab karya ek dandniya apradh hai. yadi koi bhi aise apradh mein doshi paya jata hai, to usko 7 saal ki jail ki sja ya 25,000 rs ka jurman ya in dono prakar ki sja ho sakti hai.

No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.