lawyerguruji

Civil vaad dayar karne se sambandhit pravdhan-Provision related to place of filing a civil suit

www.lawyerguruji.com
Hello friend’s,
Aaj is post mein , mein aapko yah batane ja rha hu ki civil vad (civil suit) ko kaise dayar kiya jaat hai. Kin  bayo ko dhyan mein rakhna hota hai, jab hum koi civil vaad  dayar karte hai.
Jab bhi koi vyakti kisi advocate ke pass aata hai apne se judi kisi dikkat ko lekar to vah isis asha se aata hai uski pareshani dur ho jayegi.
Yadi aap ek vakeel hai aur ya law ke student hai, to yah post apke liye bahut jaruri hai, kaise vaad dayar karte hai civil ke mamle mein.  Kisi vaad ke sambandh mein yah bahut jaruri hota hai, ki vaad uchit sthan(palce) par tatha uchit skshamta wale court mein hi dakhil (file) kiya jana chahiye.
Civil Procedure code 1908 ke anusar kuch niyam (rule’s) banaye gaye hai, ki koi bhi kis sthan aur kis court mein dakhil (file) kiya jayega. Civil vaado ko dakhil kiye jane se sambandhit niyam isi adhiniyam ki dhara (section) 15 se lekar section 20 tak ka pravdhan kiya gya hai.


  1. Section 15 ke anusar, vah court jisme vaad(suit) dKhil (file) kiya jana hai.
  2. Section 16 ke ansuar, vaad ka vaha dakhil kiya jana jaha vaad ki visay-vastu hai.
  3. Section 17ke ansuar, aisi achal sampatti (un- moveable property) se sambandhit vaad, jo kai court kr Jurisdiction ke antargat aati hai.
  4. Section 17ke anusar, jaha court ke jurisdiction ki stahniya seemaye anischit hai vaha vaad dakhil karne ka sthan.
  5. Section 19 ke ansuar,  sharir (body) ya chal sanpatti (moveable property) ke nuksan ke liye harjana prapt karne ke liye vaad.
  6. Section 20 ke anusar anya vaad jaha dakhil kiye jayenge jaha prativadi (defandent) nivas karte hai ya jaha vaad hetu (casue of action ) utpnn hota hai.
Ab baat karenge inhi sab section ke bare mein vistar se taki aur acche se ise smjha ja sake ki civil vaad kaise dayar kiya jaat hai .



1.Vaad (suit) us court mein file karna chahiye jo us vaad mein nirnay dene ke sksham ho. (Every suit shall be instituted in the competent court to try it.)

Civil Procedure Code ,1908 ke antargat yah bataya gya hai, ki yadi kisi bhi vaad ko dayar karna hai to sabse pahle is baat ko dhyan dena hoga ki vaad usi court mein dayar kiya jayega jaha us vad ko nirnay dene mein court saksham (Competent) ho.

Yadi do vyaktiyo mein apasi sahmati se yah sanvida hoti hai, ki yadi koi bhi vaad hoga to vah us particular court mein hi nyay ke liye vaad dayar karenge, jabki vah  particular court us vaad mein nirnay dene mein saksham nahi hai , to aise mein sanvida ke ansuar us particualr court mein vaaad nahi laya ja sakta hai.

2. Vaad us sthan ke court mein hi dakhil kiya jayega jaha vaad ki visay vastu hai. (Suits to be Instituted where subject matter is situated)
Civil Procedure Code ke section 16 ke anusar vaad kewal usi court mein dayar kiya jana chahiye jaha par vaad ki visay vastu hai na ki vaha jaha vaad ki visay vastu nahi hai.

  1. Immovable property ki vasooli ke liye ho chahe vah vasooli kiraya sahit ho athva bina kiraye ke ya labh ke ho usi sthan mein vaad dayar kiya jayega jaha immovable property ka sthan hai.
  2. Movable property ke vibhajan ( divide) ke liye. 
  3. Movable property mein kisi anya adhikar ya hit (interest) ke nirdharan ke liye.
  4. kurki ke adheen movable property ki vasooli ke liye vaad us court mein laya jayega jis court ke jurisdiction ki stahniya seemao ke ander property hai.
3.Aisi immovable property ke sambandh mein vaad jo kai court ke jurisdiction ke antargat hai. (Suit for immovable property situate within different jurisdiction court)
Immovable property se sambandhit anutosh prapt karne ke baad jo property kai court ke jurisdiction ke antargat situated hai. Aise kisi bhi court ke samne lai ja sakti hai jiski sthaniya seemao ke antargat sambandhit property ka koi bhag situated ho, kintu vad visay vastu ke mool ke sambandh mein samproon dawa aiase court dwara cognizable hona jaruri hai.
Jiska pravdhan dhara 17 mien is prakar kiya gya hai:
Civil code procedure dwara yah vevastha (arrangement) kiya gya hai ki jiska uddeshya yah hai ki multiplicity ki sambhavna ko rokta hai.
Aisa sambhav hai ki immovable property ka kuch bhag ek jile (district) mein tatha us property ka baaki bhag dusre jile mien situated ho, Aisi condition mein vadiyo ko puri freedom hai ki vah dono jile(district) mein se kisi bhi jile ke competent jurisdiction wale court mein vaad la sakta hai , par dono jile ke competent court mein aisa nahi kar sakta hai. Court mein jane se pahle vaadi ko yah decide karna hoga ki vah ke jurisdiction competent court mein apane vaad ke nirnay ke liye jaye.

4.Jahan court ke jurisdiction ki shtaniya seemaye anischit(uncertain) hai, vaad dayar karne ka stahn.( Pacle of institution of suit where local limits of jurisdiction of court are uncertain)
Yadi kisi property ke vaad mein yah sunischit nahi hai ki vah vaad kis court mein dayar kiya jaye jaha do ya do se adhik court ke jurisdiction ke antargat vah property situated ho, aisi condition mein un court's mein se koi bhi court us un anischit (certainty) ke visay mein kaaran ko likh karke us vaad ka trial kar sakti hai, mano us property ke prati kshetra-adhiakrikar rakhta tha.

5.Sharir athva  achal sampatti ke nuksan ke liye harjana prapt karne ke liye vaad.()
 Us conditon meini jabki sampatti (property) mein sharir ke prati kiye gaye apkaar ke prati nuksan ki purti ki vasooli ke liye vaad karta ho to niyam yah ki, aisa vaad u court mein dayar kiya ja sakta hai, jiske  kshetr-adhikar (jurisdiction) ke antargat vah prativaadi nivas karta hai, ya vyapar (businees) karta hai ya vyaktigat roop se labh ke liye karya karta hai.
Civil Procedure Code ke section 19 ke antargat:
  1. lucknow ka nivasi "A" kanpur mein "B" ko marta hai, to kanpur mein rahna wala "B" us "A" ke khilaf lucknow ki court ya kanpur ki couort mein mukadma kar sakta hai.
  2. Kanpur ka vnivasi  lucknow ke kisi nivasi ke prati man hanikarak word (Defamatory word) bolta hai to aise mein  lucknow ka nivasi kanpur ke nivasi ke khilaf Lucknow ya Kanpur ki court mein mukadma kar sakta hai.
6. Anya vaad vaha dayar kiye ja sakenge jaha ki prativadi nivas karta hai ya vaad hetu utapnn hua hai.( Other suit to be instituted where defendant resides or cause of action is aries)
 Abhi tak jitna bataya ja chuka hai, jaise ki har vaad usi court mein dayar kiya jayega jo court us vaad mein nirnay dene ke liye competent hogi, vaad vahi dayar kiya jayega jo vaad us kshetra- adhikaar ke ander ata hai.
Civil Procedure Code ke section 20 ke anusar vaad vaha dayar kiya ja sakega jaha ki prativaadi nivas karta hai ya vad hetu ( cause of action) utpann hua hai.

 A lucknow ka vyapaari hai, B  apna vyapaar Kanpur mein karta hai. B apne lucknow ke agent se A ki vastuye kharidta hai aur A se kahta hai ki vastuo ko northern railway ko de de. A ne B ke kahne se anusar vastuye kanpur mein deliver kar deta hai/ A vastuo ke mulya ke liye B par Kanpur mein jaha vaah ki shuruwat hui ( cause of action) ya lucknow mein jaha B apna vyapaar karta hai, vaha ki court mein mukadma dayar kar sakta hai.

No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.