lawyerguruji

Jane Right to Information ki 5 main dhara ke bare mien. (Everyone need to know about these 5 important Section of Right to Information))

www.lawyerguruji.com

Suchna ka adhikar jise hum aap sabhi log ise short term mein RTI kahte hai aur RTI ke name se jante hai. Suchna ka Adhikar Adhiniyam 2005, (Right to Information,2005). Yah kanoon hamre desh India mein year 2005 mein lagu kiya gya jiski help se ya iska use kar ke hum aap sabhi Government aur Government ke kisi bhi department se koi bhi sawal puch kar suchna mang sakte hai

Jane Right to Information  ki 5 main dhara ke bare mien. (Everyone need to know about these 5 important Section of Right to Information))


kaise suchna magi ja sakti hai?
  1. RTI ke antargat aap government se koi bhi question puch sakte hai.
  2. RTI ke antargat aap government se kisi bhi document ki inquiry kar sakte hai.
  3. RTI ke antargat aap government se us document ki certified copy bhi mang sakte hai.
  4. RTI ke antargat aap government ke kamkaj mein istemal (use) huye material ka namuna (sample) le sakte hai.
  5. RTI  ke antargat aap Government ke kisi bhi kamkaj ka inspection kar sakte hai.
RTI ke antargat kaise Suchna nahi mangi chahiye?
  1. RTI ke antargat koi bhi vyakti Government se unka opinion nahi mang sakta.
  2. Fact related hi question ke answer janne ke liye hi RTI ka use kare.
  3. RTI ke antargat  aap government se aisa koi bhi question puch kar aisi koi bhi suchna nahi le sakte jo ki desh (country) ki akhandata aur suraksha (Integrity or Security) ko nukas pahuchati ho ya Government or Government ke kisi bhi karya ko baadhit (Interrupted) karti hai.
  4. Government ya Government ke kisi bhi department se koi bhi vyakti koi aisi suchna nahi mang mangi jayegi jo ki gupniya (Confidential) hai.
RTI ki kaun- kaun si dhara (Section) aap logo ke kam ki hai ?
  1.  Section 6 (1) - RTI ka avedan (Application) likhne ke bare mein hai.
  2. Section 6(3) Yadi apke dwara mangi gayi suchna ka avedan patra kisi dusre galat vibhag mein chala jata hai, To aise mein vah avedan patr Section 6 (3) ke antargat sahi vibhag mein bhej diya jayega.
  3.  Section 7(5) ke antargat BPL card holder wale vyaktiyo ko RTI fees nahi deni hoti.
  4. Section 7(6) ke antargat agar RTI ke dwara mangi gayi suchna ka jawab 30 dino ke bhitar nahi ata hai,To aise mein suchna free off cost di jayegi.
  5. Section 8 ke antargat vah suchna RTI mein nahi di jayegi jo desh ki akhandata aur suraksha (Integrity or Security) ke liye khatra ho ya Government, Government ke kisi bhi vibhag ki antrik (internal) investigation ko prabhavit karta ho.
  6. Section 18 ke antargat yadi mangi gayi suchna ka jawab nahi milta hai ,To aise mein aap uski complaint suchna adhikari ko kar sakte hai.
  7. Section 19 ke antargat yadi apke dwara mangi gayi suchna ka jawab nahi milta hai ,To aise aap 30 dino ke bhitar first appeal kar sakte hai.
  8. Section 19 (3) ke antargat yadi first appeal ka bhi koi jawab nahi ata hai,To aise mein aap second appeal 90 dino ke bhitar kar sakte hai.
Agar aap logo ko yah article pasand aya ho, to please share kare taaqi yah information sabhi logo tak pahuche.
Agar apka koi sawal ya sujhav ho to aap hume comment kar ke jarur bataye. humare ane wale article ke liye free mein subscribe kare.

Related Post:-

No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.