lawyerguruji

Common Law Aptitude Test ke avedan online Shuru -CLAT 2018- Online application start

www.lawyerguruji.com

Hello Friend's
Aaj is post mein aap sabhi ko yah batane ja raha hu ki CLAT ( Common law Aptitude Test ) 2018
ke registration ki prakriya shuru kar di gayi hai, Jo Student LLb karna chahete hai ve CLAT website par ja kar registration kar sakte hai website ka address hai "clat,ac,in" Is par ja kar avedan kar sakte hai.
Common Law Aptitude Test ke avedan online Shuru ( CLAT 2018- Online application start)

Jo student avedan karna chahete hai ve Avedan karte time pahle se ye chej tyar kar leni hogi.

  1. Student apni fresh photo aur apne signature ko scan kar ke uski soft copy tiayar karle. kyoki scan photo aur signature ki jarurat hogi form fill karte time aur photo aur signature ko upload karne ke liye.
  2. Avedan karte time jab student form ko complete bhar lenege to unhe iski fees bhi jma karni hogi.
Avedan ki fees kitni hogi ? ( Application Fees)
  1. General, Div-yang, Backward aur other backward classes ke student avedan karte time unhe 4000 rupya fees deni hogi .
  2. Schedule cast or Schedule tribe wale student ko avedan karte time 3500 rupya dena hoga.
Is  saal National University of advanced Legal Studies ( NUALS) is exam ko organize karaa rahi hai.

Kaise kare avedan ? ( How to apply)
Avedna karne se pahle students ko clat.ac.in is website address ko apne computer par open karna hoga aur website par jakar sabse pahle khud ko register karna hoga. Registration ke liye unko Apne apne G-mail ki id ya Phone number ki help se khud ko register karna hoga.
Aise karte he student ke name se ek provisional registration number aur password generate ho jayega. Is say related student ke pass ek Email bhi ayega.

Is provisional registration aur password ki hlep student online avedan kar sakenge.

Kaun avedan kar sakta hai? ( Who can apply)
CLAT ke registraton ke kuch eligibility batai gayi hai ki vahi student is CLAT mein Registration karva sakte hai.
  1. Under graduate program ( five year integrated law degree)  ke anusar student ka 12th pass hona jaruri hai vo bhi 45% marks ke sath.
  2. Schedule cast aur Schedule Tribe wale student ke liye 40 % mark ke sath 12th pass hona jaruri hai.
  3. Post-graduation program ( LLM ke ek saal ki degree) ke anusar General student 55% ke sath unka LLB pass hona karuri hai.
  4. Vahi Schedule Cast aur Schedule Tribe ke Student  ke liye 50% ke sath LLB pass hona jaruri hai.

No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.