lawyerguruji

1984 sikh danga Supreme Court ne mamlo ki inquiry ke liye ek New SIT ka gathan kiya-1984 Sikh riots The supreme Court constituted a new SIT for a inquiry of cases

www.lawyerguruji.com

Aap sabhi logo ko to 1984, Kanpur mein huye Sikh dango ( riots) ke bare mein  to malum hoga.  Isme kai sikho ki jane gayi thi. Isse sambandhit 239 case court me aye unme se 186 case ko bina investigate band kar diye gaye thy. Supreme Court ne in 186 closed cases ki inquiry aur investigation ke ek new SIT formed ki hai jo in cases ki inquiry karegi.
1984 sikh danga: Supreme Court ne mamlo ki inquiry ke liye ek New SIT ka  gathan kiya. ( 1984 Sikh riots : The supreme Court  constituted a new SIT  for a inquiry of cases )

Is  new SIT ke member kaun honge. ( Who are the member of New SIT- Special investigation team)

  1. High court ke retired judge.
  2. Present IPS.
  3. Retired IPS.
6 december 2017 ko supreme court dwara banayi gayi Supervisory Penal ne SIT dwara close kiye gaye 241 cases ki report Supreme Court ko di thi. Court ab in report ke adhar par decide karegi ki ye cases ko re open kiya jaye ya nahi, Court ne yah bhi kaha ki yadi report mein kuch aisa hoga to karya vahi (proceeding) ke  adesh (order) jarur diye jayenge.

1984 ke sikh virodhi hinsa mamle mein supreme court dwara chhatanee ke baad close kiye cases ki investigation ke liye supreme court ke 2 retired judges ke supervisory penal ka gathan kiya tha. Is penal mein supreme court ke retired judge Justice JM Panchal or Justice KS radha krishnan hai. Court ne kaha tha ki investigation ka kaam 5 September se start hoga aur 3 month mein report de di jayegi. Penal record dekhne ke baad yah decide karna tha ki case ko close karne ka decision sahi hai ya nahi aur in cases  ki re-investigation ki jaye ya nahi.
Penal beginning mein close kiye gaye 199 cases ke alawa, 42 others cases ki files ko dekhega 

isse pahle centrel government ne supreme court mein affidaivit file kar kaha ki 1984 mein kanpur ke sikh virodhi hinsa ki inquiry SIT se karayi jaye ya nahi ,ye Uttar pradesh government decide jare, centrel government ne Affidavit mein kaha ki law system  state ka matter hai, aise mein SIT inquiry ka decision State Government le, central Government ne yah bhi kaha ki agar vo SIT ki inquiry ke sambandh mein koi decision leti hai to state government ke right me dakhal dena hoga. 
 Kanpur mein sikh virodhi hinsa ke victim's dwara nyay mange wali  Petition par sunvai (hearing) kar rahi hai.
Issey pahle ki sunvai mein SIT ki inquiry ki ,mang wali petition par sunvai ki hami bharte huye useay sikh virodhi hinsa ke main case ke sath lagane ka court ne order diya tha. Iske sath Central government or State government ko notice jari kiya tha.

Yachika (Petition)  mein mein kya kaha gya tha. kya hai mamla.

Petition mein yah kaha gya ki 1984 kanpur mein jo hinsa hui thi usme 127 logo ki hatya hui thi jisme jadatar mamle evidence ke abhav mein close kar diye ja chuke hai. Is yachika mein compensation ka bhi jikr kiya gya hai. Delhi sikh gurudwara management ke prsident Majet sing aur akhil bhartiy  danga pidhit committeeke president kuldeep singh bhogal ne supreme court mein is yachika ko file kiya hai.
Kuldeep singh bhogal ne yah kaha ki Delhi rajdhani hai isiliye  uska mamla sabki najro mein a gya, lekin 1984, kanpur mein huye sikh virodhi hinsa meiin 127 logo ki htya hui thi. Uttar Pradesh mein is gango (riots) se sambandhit  total 2800 FIR  darj (lodge) karayi gayi thi. lekin mamle evidence ke abhav mein close kar diye gaye. Victim 33 year's se nyay ke liye idhar udhar bhatak raha hai.

Petiton mein yah bhi kah gya ki mamla Police oe government system ke avman niya  krur aur laparwahi behavior se juda hai. Jis area mein logo ki hatya hui us area ke police station dwara yah kaha gya ki yaha koi hatya nahi hui. na hi koi danga hua, or na sampatti (property) ki loot paat hui.
 Jabki RTI mein in stations se nill report ki bat kahi hyi hai. Govind nagar or Noubasta police station ke area mein jaha jada hatya hui , vaha ke police station se koi report nahi uplabdh karai gyi.

Petition mei mein specially  Bazaria police station station mein darj 6 FIR aur Najariya  police station mein darj 1 FIR aue dango (riots) se sambandhit anya police station  me darj baaki mamlo ki inquiry SIT dwara kiye jane ki mang ki gyi hai.

 Yah bhi kaha gya ki in mamlo ki re- inquiry ka oreder de , jisme police pahle hi final closer report file kar chuki hai.iske sath anya police station mein darj mamlo ki bhi re- inquiry ki mang ki hai.

No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.